Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 September 2020

Jo shakhs ye pasand karta hai ke wo apne walid se isse uss ki qabar mai sila Rehmi kare to wo__ amal kare?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Mafhum-e-Hadith mukamal kare 


Jo shakhs ye pasand karta hai ke wo apne walid se isse uss ki qabar mai sila Rehmi kare to wo__ amal kare?


A: Kasrat se nawafil padhe

B: Rishtedaro ke sath husne sulook kare

C: Walid ke dosto se milta rahe

D: Walid ke naam se Umrah kare

E: Apni walida ke saath husne sulook kare

F. Apne bade bhai  se husn e suluq kare

G: In mai se koi nahi 


H: Sahi jawab ka intezar hai

*********

Sahih Jawab - C✅

woh apne waalid ke doston se is ke marne ke baad milta rahe


📚Reference:


Abu Barda se rivayat hai kehte hain ke mein Madine aaya to mere paas Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma aaye aur kaha kya tum jantay ho ke mein tumahray paas kyun aaya hon? Mein ne kaha nahi, Abdullah ne kaha ke mein ne Rasool-Allah (ﷺ) se suna farma rahe thy jo shakhs yeh pasand karta hai ke woh apne waalid se is ki qabar mein sila rehmi kare to woh apne waalid ke doston se is ke marne ke baad milta rahe mere Walid Umar Radi Allahu anhu aur aap ke waalid ke darmain muvakhat (bhai charah) aur mohabbat thi is liye mein ne pasand kiya ke mein is sila rehmi ko qaim rakhon.

---------

ابو بردہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں مدینے آیا تو میرے پاس عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما آئے اور کہا: کیا تم جانتے ہو کہ میں تمہارے پاس کیوں آیا ہوں؟ میں نے کہا: نہیں، عبداللہ نے کہا کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے : جو شخص یہ پسند کرتا ہے کہ وہ اپنے والد سے اس کی قبر میں صلہ  رحمی  کرے تو وہ اپنے والد کے دوستوں سے اس کے مرنے کے بعد ملتا رہے۔ میرےوالد عمر رضی اللہ عنہ   اور آپ کے والد کے درمیان مواخاۃ(بھائی چارہ) اور محبت تھی اس لئے میں نے پسند کیا کہ میں اس  صلہ رحمی کو قائم رکھوں۔

---------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 404

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...