Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 21 September 2020

Ek baar Hudhaifa Radi Allahu Anhu Rasool-Allah (ﷺ) ke saath namaz padh rahe thy tab unhone Rasool-Allah (ﷺ) ko sajda aur ruku karte dekha aur kuch cheezo ka sawal aur panah mangte huwe dekha unhone Rasool-Allah (ﷺ) ko kis cheez ka sawal karte huwe dekha aur kis cheez se panah maagnte dekha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!

Sawal: Ek baar Hudhaifa Radi Allahu Anhu Rasool-Allah (ﷺ) ke saath namaz padh rahe thy tab unhone Rasool-Allah (ﷺ) ko sajda aur ruku karte dekha aur kuch cheezo ka sawal aur panah mangte huwe dekha unhone Rasool-Allah (ﷺ)  ko kis cheez ka  sawal karte huwe dekha aur kis cheez se panah maagnte dekha?


A: Rahmat

B: Umeed

C: Azaab

D: Ilm

E: Nafs

F: Dozak

G: Jannat

H: Maut

I: Hayat


J: Sahi Jawab ka intezaar hai

**************

Sahi Jawab - AC✅


Reference 📚:


Hudhaifah Radi Allahu Anhu ne Nabi Akram (ﷺ) ke sath namaz parhi to Aap apne ruku mein «Subhana Rabbiyal Azim» aur sajde mein « Subhana Rabbiyal A'la» parh rahay thy aur jab bhi Rahmat ki kisi aayat par pahunchate to thaharte aur sawal karte aur jab Azaab ki kisi aayat par aate to thaharte aur (Azaab se) panah mangte.

-------

 Hudhaifah narrated that he performed Salat with the Prophet (ﷺ), and that while he was bowing he would say: (Subhana Rabbiyal Azim);   Glorious is my Lord the Magnificent   and while prostrating: (Subhana Rabbiyal A'la) 'Glorious is my Lord the Most High.' And he would not recite an Ayah mentioning mercy, except that he would stop and ask (for mercy), and he would not recite an Ayah mentioning punishment, except that he would stop and seek refuge (with Allah from it).

--------

 انہوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ نماز پڑھی تو آپ اپنے رکوع میں «سبحان ربي العظيم» اور سجدے میں «سبحان ربي الأعلى» پڑھ رہے تھے۔ اور جب بھی رحمت کی کسی آیت پر پہنچتے تو ٹھہرتے اور سوال کرتے اور جب عذاب کی کسی آیت پر آتے تو ٹھہرتے اور  ( عذاب سے )  پناہ مانگتے

---------

Sahih Hadees

Jam e Tirmazi Hadees # 262

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...