Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 25 October 2020

Wo kaun kaunse Amal hai jinhe Allah Subhanahu ne haram qarar diya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


❗Jawab ek se zyada hain


Sawal: Wo kaun kaunse Amal hai jinhe Allah Subhanahu ne haram qarar diya hain


A: Allah Subhanahu ke ehkamaat jo jhutlana

B: Har qisam ke Gunah ko

C: Kisi par bohtaan lagana

D: Allah ke baate mein koi aisi baat karna jiska ilm na ho 

E: Allah ke saath kisi ko Shareek tehrana

F: Tamam behayi ke kaamon ko chahe wo khuli ho ya chupi ho

G: Nahaq kisi per ziyadati karne ko

H: Haq ki baaton se muh modne se


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************

Sahi Jawab - BDEFG✅


Wo baatein jinko Allah Subhanahu ne harram qarar diya hain


Reference📚:

------

Bismillahirrahmannirrahim


قُلۡ  اِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّیَ الۡفَوَاحِشَ مَا ظَہَرَ  مِنۡہَا وَ  مَا بَطَنَ وَ الۡاِثۡمَ وَ الۡبَغۡیَ بِغَیۡرِ الۡحَقِّ وَ اَنۡ تُشۡرِکُوۡا بِاللّٰہِ مَا لَمۡ یُنَزِّلۡ بِہٖ سُلۡطٰنًا وَّ اَنۡ تَقُوۡلُوۡا عَلَی  اللّٰہِ  مَا لَا  تَعۡلَمُوۡنَ

-----

Keh do ke Mere RABB ne to behayai ke kamon ko haram qarar diya hai chahe woh behayai khuli huwi ho, ya chupi huwi neez her qisam ke gunah ko aur Nahaq kissi se ziyadti karne ko, aur iss baat ko ke tum Allah ke sath kissi aisi cheez ko shareek maano jiss ke baare mein Allah ne koi daleel nazil nahi ki hain neez iss baat ko ke tum Allah ke zimme woh baaten lagao jinn ki haqeeqat ka tumhen zara bhi ilm nahi hain.

----

Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know." 

-----

کہہ دو کہ :   میرے رب نے تو بے حیائی کے کاموں کو حرام قرار دیا ہے ، چاہے وہ بے حیائی کھلی ہوئی ، ہو یا چھپی ہوئی ۔ نیز ہر قسم کے گناہ کو اور ناحق کسی سے زیادتی کرنے کو ، اور اس بات کو کہ تم اللہ کے ساتھ کسی ایسی چیز کو شریک مانو جس کے بارے میں اللہ نے کوئی دلیل نازل نہیں کی ہے ، نیز اس بات کو کہ تم اللہ کے ذمے وہ باتیں لگاؤ جن کی حقیقت کا تمہیں ذرا بھی علم نہیں ہے 

-----

Al Quran: Surah Al Araf (07:33)

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...