Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 25 October 2020

Wo kaun log honge jinke liye farmaya gaya ke Jannat inke liye is qader bhi halal nahi hongi ke wo usse dekh sakay

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaun log honge jinke liye farmaya gaya ke Jannat inke liye is qader bhi halal nahi hongi ke wo usse dekh sakay


A: Ziyada Maal ki chahat karne wale

B: Izaat ki chahat karne wale

C: Hasad karne wale

D: Takkabur karne wale

E: Bukhl karne wale

F: Riyakari karne wale

G: Inmein se koi nahi 


H: Sahi Jawab ka Intezaar

**********

Sahi Jawab - D✅


Rai ke dane ke barabar bhi Takkabur karne wala Jannat ki Khusbu bhi paa nahi sakega


Reference📚:

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo Aadmi is haal mein mare ho ke is ke dil mein Rai ke dane ke barabar Takkabur ho to Jannat is ke liye is qader bhi halal nahi hogi ke woh is ki khushbu pa sakay ya is ko dekh sakay. Quresh ke Abu Rehana Nami aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Allah ki qisam! mein to husn o jamal ko pasand karta hu..

-----

 ۔ سیدنا عقبہ بن عامر ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: جو آدمی اس حال میں مرا ہو کہ اس کے دل میں رائی کے دانے کے برابر تکبر ہو تو جنت اس کے لیے اس قدر بھی حلال نہیں ہو گی کہ وہ اس کی خوشبو پا سکے یا اس کو دیکھ سکے۔ قریش کے ابو ریحانہ نامی آدمی نے کہا: اے اللہ کے رسول! اللہ کی قسم! میں تو حسن و جمال کو پسند کرتا ہوں

-----

Musnad Ahmed#9718-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...