❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Woh kaunsa Amal hai jisse Allah Subhanahu ne apne bandon ke liye pasand kiya hain
A: Waledain ki khidmat karna
B: Masjid mein Quran ki tilawat karna
C: Subah Shaam Astagfaar padhna
D: La illaha illAllah kehna
E: Hajj aur Umrah karna
F: SubhanAllahi wa biHamdihi kehna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawa ka intezaar
*********
Sahi Jawab - F✅
SubhanAllahi wa biHamdihi behatreen kalaam hain joh Allah Subhanahu ne apne bandon ke liye pasand farmaya hain.
-----
Abu Zar RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya kaunsa kalaam Afzal hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya woh kalaam jo Allah taala ne apne bandon ke liye pasand kiya hain:
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ
SubhanAllahi wa biHamdihi
----
Allah taala apni tareef ke sath paak hain
----
ابو ذر رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا گیا: کون سا کلام افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ کلام جو اللہ تعالیٰ نے اپنے بندوں کے لئے پسند کیا ہے: سبحان اللہ وبحمدہ(اللہ تعالیٰ اپنی تعریف کے ساتھ پاک ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2930-Sahih
No comments:
Post a Comment