Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 11 August 2021

Qayamat ke din wo kaun log honge jo Nabi Sallahu Alahi waSallam se sabse zaiyda durr honge?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 765❗

Jawab ek se zaiyda hain!

Sawal: Qayamat ke din wo kaun log honge jo Nabi Sallahu Alahi waSallam se sabse zaiyda durr honge?

A: Bad kalami karne wale
B: CHugalkhor (Peeche baat karne wale)
C: Logo ke beech mein fasaad dalne wale
D: Akad ker chalne wale
E: bina soche samjhe faltu baate karne wale
F: Maal ki hiras karne wale
G: Bahut zayda bolne wale
H: Takabbur karne wale
I. Sahi jawab ka intezar
****
Sahi Jawab - ADEGH✅

Hadith:  Wo log jo Qayamant ke din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se bahut durr honge

Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke tum mein mujhe sab se ziyada mehboob aur qayamat ke din mere sab se ziyada qareeb bethne wala shakhs wo hoga jis ka ikhlaq tum mein sab se achcha hoga aur mujhe tum mein sabse ziyada na pasandeeda aur qayamat ke din mujhse sab se ziyada durr wo log honge jo fizul goi (bad kalami) karne wale banchen mourr kar battein karne wale , aur pur takalouf guftagu karne (yani bina soche samjhe faltu baate karne) wale akaad kar chalne wale hain Sahaba ne kaha hamein fizul goi aur peeche mourr kar battein karne wale ke baarey mein to maloom hain یہمُتَفَيْهِقُونَکون Almutaffeena kaun hain? Aap Salalhu Alahi waSallam ne farmaya Takabbur karne wale
-----
جابررضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ : تم میں مجھے سب سے زیادہ محبوب اور قیامت کے دن میرے سب سے زیادہ قریب بیٹھنے والا شخص وہ ہوگا جس کا اخلاق تم میں سب سے اچھا ہوگا۔ اور مجھے تم میں سب سے زیادہ نا پسندیدہ اور قیامت کے دن مجھ سے سب سے زیادہ دور وہ لوگ وہ ہوں گے جو فضول گوئی (بدکلامی) کرنے والے، بانچھیں موڑ کر باتیں کرنے والے،اور پر تکلف گفتگو کرنے والے اکڑ کر چلنے والے ہیں۔ صحابہ نے کہا ہمیں فضول گوئی اور بانچھیں موڑ کر باتیں کرنے والے کے بارے میں تو معلوم ہے یہمُتَفَyيْهِقُونَکون ہیں؟ آپ نے فرمایا:تکبرکرنے والے۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 84-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...