Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 30 November 2020

Kaunsa amal subah aur sham karne se har tarah ki pareshaniyon se bachao ke liye kaafi hoga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunsa amal subah aur sham karne se har tarah ki pareshaniyon se bachao ke liye kaafi hoga

A: Ayat Al-Kursi
B: Allahummastur 'awrati, wa amin raw'ati
C:  Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha illa anta
D: Surah Ikhlas, Surah Al Falaq aur Surah An Nas 3 baar
E: La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir  La Hawla wa La Quwwata illa billah SubhanAllah, Walhamdulillah,  Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar
F: Sayyad-Al-Astigfar
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
.Sahi Jawab - D✅

Subah Sham 3 baar Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An Nas padhne ki fazilat

Reference📚:
-----
Abdullah ibn Khubayb RadiAllahu Anhu kehte hain ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko barish ki ek sakht andheri raat mein namaz padhne ke liye talaash karne nikle, to hum ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko pa liya, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum logon ne namaz padh li? hum ne koi jawab nahi diya, Aap ne farmaya kuch kaho is par bhi hum ne kuch nahi kaha, Aap ne phir farmaya kuch kaho (phir bhi) hum ne kuch nahi kaha, phir aap ne farmaya kuch to kaho mein ne arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya kahoon? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: (Surah Al Ikhlas) aur Al-Mu’awwidhatan (yani Surah Falaq aur Surah An Nas) teen martaba subah ke waqt, aur teen martaba shaam ke waqt keh liya karo to ye tumhe (har terhan ki pareshaniyon se bachao ke liye) kaafi hongi.
Sunnan e Abu Dawood#5082-Sahih
-----
عبداللہ بن خبیب رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ ہم رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو بارش کی ایک سخت اندھیری رات میں نماز پڑھانے کے لیے تلاش کرنے نکلے، تو ہم نے آپ کو پا لیا، آپ نے فرمایا:  کیا تم لوگوں نے نماز پڑھ لی؟  ہم نے کوئی جواب نہیں دیا، آپ نے فرمایا:  کچھ کہو  اس پر بھی ہم نے کچھ نہیں کہا، آپ نے پھر فرمایا:  کچھ کہو   ( پھر بھی )  ہم نے کچھ نہیں کہا، پھر آپ نے فرمایا:  کچھ تو کہو  میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! کیا کہوں؟ آپ نے فرمایا: «قل هو الله أحد» اور معوذتین تین مرتبہ صبح کے وقت، اور تین مرتبہ شام کے وقت کہہ لیا کرو تو یہ تمہیں  ( ہر طرح کی پریشانیوں سے بچاؤ کے لیے )  کافی ہوں گی۔
-----
Narrated Abdullah ibn Khubayb: We went out one rainy and intensely dark night to look for the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam to lead us in prayer, and when we found him, he asked: Have you prayed?, but I did not say anything. So he said: Say, but I did not say anything. He again said: Say, but I did not say anything. He then said: Say. So I said: What am I to say? He said: Say:  (Surah Al Ikhlas) Say, He is Allah, One, and al-Mu'awwadhatan (Surah Falaq and Surah An Nas) three times in the morning and evening; they will serve you for every purpose.
-----
Sunnan e Abu Dawood#5082-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...