Bismillahirrahmannirahim
Hadith: Nazar lagna haq hain... kuch hadeese nazar ke mutalliq bayan ki gayi hain..
------
Jabir aur Abu Zarr Radi'Allahu Anhuma se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Nazar aadmi ko qabr mein dakhil kar deti hain aur oont ko haandi mein.
-----
Al Silsila Tus Sahiha 2325-Sahih
******
Abu Huraira Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke: Nazar lagna haq hain.
---
Al Silsila Tus Sahiha 2326-Sahih
****
Abdullah bin Abbas Radi'Allahu Anhu se riwayat hain ke: Nazar lagna haq hai, ye bulandi wale ko neeche utar deti hain (yani kisi ohda wagaira ki bulandi ya aadmi ke sehat mein accha hona
---
Al Silsila Tus Sahiha 2327-Sahih
*****
Abdullah bin Abbas Radi'Allahu Anhu se riwayat hain ke: Nazar lagna haq hai, agar taqdeer se koi cheez sabqat le jaye to wo nazar hoti aur jab tum se ghusl karne ka kaha jaye to ghusl kar ke (in ko paani de do).
Al Silsila Tus Sahiha 2328-Sahih
*****
Aisha Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam inhein hukum diya ke nazar ka dum karwaein.
----
Al Silsila Tus Sahiha 2334-Sahih
****
Aisha Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam nazar lagane wale ko wuzu karne ka hukm dete, phir jis shaksh ko nazar lagi hoti thi woh us se ghusl karta.
----
Al Silsila Tus Sahiha 2335-Sahih
*****
Aisha Radi'Allahu Anhu kehti hain ke Nabi Sallallahu Allaihi wasallam andar dakhil huwe to ek bacche ki roone ki awaaz sunni, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Is bacche ko kya huwa jo ye roo raha hai ? Tum is ke liye nazar ka dum kyu nahi karwaya?
----
Al Silsila Tu Sahiha 2340-Sahih
No comments:
Post a Comment