Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 13 October 2020

Har Aadmee par Shaitan ka waswasa hota hain..

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Do Sawal hai aur pehle sawal mein jawab ek se ziyada hain


Har Aadmee par Shaitan ka waswasa hota hain..


Sawal1: wo waswasa kaun kaunsa hain


A: Bakheeli karna

B: Haq ka inkar karna

C: Ilm chupana

D: Khayanat karna

E: Wada Khilafi karna

F: Buraiee ka wada karna

G: Allah Subhanhu ke zikr se muu modna

H: Sahi Jawab ka intezaar


Sawal2: Jab Admee uss waswase ko mehsoos kare toh kya amal karne ka irshad farmaya gaya hain


A: Allah Subhanahu ka kasrat se zikr kare

B: Allah Subhanahu ki panah hasil kare

C: Allah Subhanahu se astagfaar kare

D: Neik kaam kare

E: Namaz ki pabandi kare

F: Allah Subhanahu ke raah mein karch kare

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

******

Sahi Jawab - BF/B✅


Admee par Shaitan ka waswasa hota hai aur Farishton ka bhi asar hota hai


Reference📚:

----------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Admee par Shaitan ka Asar ( waswasa) hota hai aur Farishton ka bhi asar (ilham) hota hai Shaitan ka Asar ye hai ke insan se buraiee ka wada karta hai aur Haq ko jhutlata hai aur Farishtein ka Asar ye hai ke wo khair ka wada karta hai aur Haq ko Qubul karta hai toh Jo Shaks ye hasil karen us par Allah Subhanahu ka shukr adaa karen aur Jo dusra Asar hasil karen yani Shaitan ka toh Shaitan se Allah Subhanahu ki panah hasil karen phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne ye aayat tilawat farmayee


الشَّيْطَانُ يَعِدُكُمُ الْفَقْرَ وَيَأْمُرُكُمْ بِالْفَحْشَاءِ

( Shaitan tumhein faqeeri se darata hai aur behayayee ka hukum deta hai)

----


Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: Indeed the Shaitan has an effect on the son of Adam, and the angel also has en effect. As for the Shaitan, it is by threatening evil repercussions and rejecting the truth. As for the effect of the angel, it is by his promise of a good end and believing in the truth. Whoever finds that, let him know that it is from Allah, and let him praise Allah for it. Whoever finds the other then let him seek refuge with Allah from the Shaitan (the outcast) then recite: Shaitan threatens you with poverty and orders you to commit Fahisha (2:268).

------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”آدمی پر شیطان کا اثر ( وسوسہ ) ہوتا ہے اور فرشتے کا بھی اثر ( الہام ) ہوتا ہے۔ شیطان کا اثر یہ ہے کہ انسان سے برائی کا وعدہ کرتا ہے، اور حق کو جھٹلاتا ہے۔ اور فرشتے کا اثر یہ ہے کہ وہ خیر کا وعدہ کرتا ہے، اور حق کی تصدیق کرتا ہے۔ تو جو شخص یہ پائے ۱؎ اس پر اللہ کا شکر ادا کرے۔ اور جو دوسرا اثر پائے یعنی شیطان کا تو شیطان سے اللہ کی پناہ حاصل کرے۔ پھر آپ نے آیت «الشيطان يعدكم الفقر ويأمركم بالفحشاء» ۲؎ پڑھی۔

-----

Jamia Tirmazi - 2988-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...