Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 18 January 2021

Behtareen khazana kise irshad farmaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

❗Sawal: Behtareen khazana kise irshad farmaya hain

A: Aisi biwi jo apne shohar ko aakhirat ke liye madad kare
B: Aisi shohar jo apne biwi ko aakhirat ke liye madad kare
C: Allah ke khauf se rone wala shakhs
D: Zikr karne wali Zuban
E: Shukar karne wali Biwi
F: Shukar karne wali Zuban
G: Shukar karne wala Dil
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahih Jawab ADG✅

Behtareen khazana Zikr karne wali Zuban Shukar karne wala Dil aur Neik biwi hain

Reference📚:
----
Abdullah bin Abu Hazail RadiAllahu Anhu se riwayat hain mere ek saathi ne mujhe bayan kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya sone aur chandi ke liye halakat hain ye sun kar Umar bin khattab RadiAllahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas gaye aur kaha YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap ne ye farma diya hain ke sone aur chandi ke liye halakat hain ab hum kya khazane kare Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Zikr karne wali Zuban, Shukar karne wala Dil aur aise biwi jo aakhirat ke mamle mai apne Khawind (Shohar) ki madad kare
---
عبد اللہ بن ابو ہذیل سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میرے ایک ساتھی نے مجھے بیان کیا کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: سونے اور چاندی کے لیے ہلاکت ہے۔ یہ سن کر سیدنا عمر بن خطاب ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ، رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے پاس گئے اور کہا: اے اللہ کے رسول! آپ نے یہ فرما دیا ہے کہ سونے اور چاندی کے لیے ہلاکت ہے، اب ہم کیا خزانہ کریں؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: ذکر کرنے والی زبان، شکر کرنے والا دل اور ایسی بیوی، جوآخرت کے معاملے میں اپنے خاوند کا تعاون کرے۔ 
----
Masnad Ahmed # 10057-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...