Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 18 January 2021

kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu per lazim hojata hain ke wo usse Jahannum ka peep pilaye?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Sawal : kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu per lazim hojata hain ke wo usse Jahannum ka peep pilaye?

A. Nashe ki wajah se char bar Namaz chodh di
B. Sharab ka aadi ho jana
C. Nashe ki wajah se ek waqt ki Namaz chorhne se
D. Apne maal mein yateem ka maal shamil kar lena
E.Nashe ki halat ke wajah se teen waqt ki Namaz nahi padi ho
F. Kisi Bidati ki uske bidat ke kaam mein madad kar dena
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hain
*******
Sahi jawab: A✅ 

Nasha karne ki wajah se char waqt ki namaz chordne walo ko Jahannam ka peep pilaya jayega

Reference📚:
----------
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne nashe ki wajah se ek namaz chodh di to wo aisa hain jaise ki duniya aur uska sara saman is ka tha aur usse wapas cheen liya gaya aur jis shakhs ne nashe ki wajah se char baar namaz chordh di to Allah Subhanahu per lazim hain usko Teenat-Al-Khabal peelaye, pucha gaya ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Teenat-Al-Khabal kya cheez hain to Aapne farmaya Ahl-e-jahannam ki Peep
----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732-Sahih
----
Narrated by Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said whoever gets drunk and leave Salah (prayer) then he will be like the one who had whole world and  whatever in it, and has been taken back from him and whoever leaves four prayer due to drunk, then it is binding on Allah that he will give him to drink Teenat-Al-Khabal , The people asked Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam what is Teenat-Al-Khabal ,  he said the discharge of wounds, flowing from the people of Hell. 
----
رسول صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا   جس شخص نے نشے كی وجہ سے ایك نماز چھوڑدی تو وہ ایسے ہے گویا کہ دنیا اور اس کا تمام سامان اس کا تھا ارو یہ اس سے چھن گیا ہے، اور جس شخص نے نشے كی وجہ سے چار مرتبہ نماز چھوڑ ی تواللہ تعالیٰ پر لازم ہے كہ اسے طینۃ الخبال پلائے۔ پوچھا گیا یہ طینۃ الخبال  كیا چیز ہے ؟ اے اللہ كے رسول؟ آپ نے فرمایا: اہل جہنم كا پیپ
----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...