Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Ek baar ek sahabi ne quran ki ek surah ki kuch aayatein padhi aur waha maujood dusre sahaba se iske bare mai poocha ke iss surah ke mutaliq tumhara kya khayal hai kisi ne kuch kisi ne kuch kaha un khalifa ne ek sahabi se pocha k tumhara bhi yahi khayal hai unho ne kaha nahi un sahabi ne uss surah mein kuch nishaniya bayan ki.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek sahabi  ne quran ki ek surah ki kuch aayatein padhi aur waha maujood dusre sahaba se iske bare mai poocha ke iss surah ke mutaliq tumhara kya khayal hai kisi ne kuch kisi ne kuch kaha un khalifa ne ek sahabi se pocha k tumhara bhi yahi khayal hai unho ne kaha nahi un sahabi ne uss surah mein kuch nishaniya bayan ki.


Sawal 1 : Wo sahabi kaun they jinhone wo surah padhi

A: Abu Baker RadiAllahu Anhu
B: Umar RadiAllahu Anhu
C: Usman RadiAllahu Anhu
D: Ali RadiAllahu Anhu
E: Abu Sufiyan RadiAllahu Anhu
F: Abu Zarr RadiAllahu Anhu
G: Zaid Bin Harith RadiAllahu Anhu
H: Inmein se koi nahi

Sawal 2: Wo surah kaunsa hai?

A: Surah Furqan
B: Surah Luqman
C: Surah Fatir
D: Surah Sajda
E: Surah An Nasr
F: Surah Fussailat
G: Inmein se koi nahi

Sawal 3: Wo nishaniya kya hai? (jawab ek se ziada hai)

A: Fateh Khaibar
B: Fateh Makka
C: Yajooj majooj
D: Nabi ki wafat
E: Essa Alaihi Salam ka nuzool
F: Ulmao ka khatema

G. Sahi jawab ka intezar hai

***************

Sahi Jawab BE/BD✅

Reference📚:

Umar Radi Allahu Anhu mujhe apni Majlis mein is waqt bhi bulaa letay jab wahan Badr ki jung mein shareek honay walay buzurag sahaba RadiAllahu Anhu baithy hotay is par baaz log kehnay lagey is jawan ko aap hamari majlis mein kyun bulatay hain? is ke jaisay to hamaray bachay bhi hain is par Umar Radi Allahu Anhu ny kaha woh to un logon mein se hai jin ka ilm o fazal tum jantay ho unhon ny bayan kiya ke phir un buzurag Sahabiyo ko ek din Umar RadiAllahu Anhu ny bulaya aur mujhe bhi bulaya bayan kiya ke mein samjhta tha ke mujhe is din aap ny is liye bulaya tha taakay aap mera ilm bata saken phir aap ny daryaft kiya «إذا جاء نصر الله والفتح * ورأيت الناس يدخلون‏» khatam surat taq' ke mutaliq tum logon ka kya khayaal hai? kisi ny kaha ke hamein is aayat mein hukum diya gaya hai ke hum Allah ki hamd bayan karen aur is se Astaghfar karen ke is ny hamari madad ki aur hamein fatah inayat farmayi baaz ny kaha ke hamein is ke mutaliq kuch maloom nahi hai aur baaz ny koi jawab nahi diya phir unhon ny mujh se daryaft kiya Ibn Abbas RadiAllahu Anhu kya tumhara bhi yahi khayaal hai? mein ny jawab diya ke nahi' poocha' phir tum kya kehte ho? mein ny kaha ke is mein Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki wafaat ki taraf ishara hai ke jab Allah taala ki madad aur fatah haasil ho gayi  yani Fatah Makkah to yeh Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki wafaat ki nishani hai is liye Aap apne RABB ki hamd aur tasbeeh aur is ki maghfirat talabb karen ke woh tauba qubool karne wala hai. Umar RadiAllahu Anhu ny kaha ke jo kuch tum ny kaha wohi mein bhi samjhta hon.
-------------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 4294

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...