Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

wo kaunsi namaz thi joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko sabse ziada pasand thi aur us per hameshgi iktiyaar kiya karte thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai jawab is tarah dijiye 1A/2B…


Sawal 1: wo kaunsi namaz thi joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko sabse ziada pasand thi aur us per hameshgi iktiyaar kiya karte thy?

Sawal 2: wo kaunsi namaz thi joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam thandi, beemari safar mein ho tab bhi nahi chorhra karte thy?

A: Asar ki 4 rakat sunnat
B: Tahhajjud ki 8 rakat aur 3 witr
C: Fajar ki 2 rakat sunnat 
D: Chasth ki 8 rakat  
E: Zohar ki 4 rakat sunnat
F: Fajar ki 2 rakat farz
G: Magrib ke phele 2 rakat sunnat 
H: Magrib ke baad 2 rakat sunnat

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

********************

Sahi Jawab - 1E/2C✅

Reference📚:

Qaboos RadiAllahu Anhu apne waalid se bayan karte hain ke mere waalid ne ek aurat Aisha RadiAllahu Anhuma ke taraf bhaije, ke un se pooch kar aaye ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko kaunsi Namaz sab se ziyada pasand thi jis par hameshgi kiya karte they? Unhon ne kaha Aap Sallallahu Alahih Wasallam Zohar se pehlay chaar rakat parha karte they, aur un mein lamba qiyam kiya karte, Ruku wa Sajda Aasaan tareeqay se ada karte, aur jo namaz woh chodha nahi karte they, thandi saat hon ya beemaar, safar mein hon ya Huzar mein woh Fajar se pehlay ki do rakate hain
---------------
قابوس اپنے والد سے بیان كرتے ہیں كہ میرے والد نے ایك عورت عائشہ رضی اللہ عنہا كی طرف بھیجی، كہ ان سے پوچھ كر آئے كہ رسول  اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كو كونسی نماز سب سے زیادہ پسند تھی جس پر ہمیشگی كیا كرتے تھے؟ انہوں نے كہا: آپ صلی اللہ علیہ وسلم ظہرسے پہلے چار ركعت پڑھا كرتے تھے، اور ان میں لمبا قیام كیا كرتے ، ركوع و سجود احسن طریقے سے ادا كرتے، اور جو نماز وہ چھوڑ انہیں كرتے تھے، تندر ست ہوں یا بیمار سفر میں ہوں یا حضر میں وہ فجر سے پہلے كی دو ركعتیں ہیں
-----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 696

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...