Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Afzal Amal 2. Afzal Sadqa 3. Afzal Hijrat 4. Afzal Jihad 5. Afzal Qatal

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sahih Milan kijiye! (Match the following) 

1. Afzal Amal
2. Afzal Sadqa
3. Afzal Hijrat
4. Afzal Jihad
5. Afzal Qatal
-----------------------
A. Jis ka khoon Allah Subahnahu ki raah mein bahaya gaya ho
B. Jo Namaz ke liye susti na kare
C. Jo Halal aur Haram mein farq kare
D. Namaz mein dair taq khadde rehna
E. Apni jaan aur maal ke saath mushriqeen se ladna
F. Kum maal wala mehnat ki kamaai se khairaat karna
G. Allah ki haram karda cheezo ko chore dena

H. Sahi Jawab ka Intezaar?

**************

Sahi Jawab – 1D, 2F, 3G, 4E, 5A✅

Reference📚:

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke bataye huwe Afzal Amal 
--------------
Nabi Akram Sal-Allahu alaihi wasallam se poocha gaya kaun sa Amal Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Namaz mein dair taq kharray rehna, phir poocha gaya kaun sa Sadqa Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya kum maal wala mehnat ki kamaai mein se jo sadqa de, phir poocha gaya kaun si Hijrat Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ki Hijrat jo un cheezon ko chore de jinhein Allah Subhanhu ne is par haraam kiya hain, phir poocha gaya kaun sa Jihaad Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ka Jihaad jis ny apni Jaan o Maal ke saath Mushriqeen se Jihaad kiya ho, phir poocha gaya kaun sa Qatal Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ki raah mein jis ka khoon bahaya gaya ho aur jis ke ghoray ke haath paon kaat liye gaye hon.
---------------
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا گیا: کون سا عمل افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  نماز میں دیر تک کھڑے رہنا ، پھر پوچھا گیا: کون سا صدقہ افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  کم مال والا محنت کی کمائی میں سے جو صدقہ دے ، پھر پوچھا گیا: کون سی ہجرت افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس شخص کی ہجرت جو ان چیزوں کو چھوڑ دے جنہیں اللہ نے اس پر حرام کیا ہے ، پھر پوچھا گیا: کون سا جہاد افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس شخص کا جہاد جس نے اپنی جان و مال کے ساتھ مشرکین سے جہاد کیا ہو ، پھر پوچھا گیا: کون سا قتل افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اللہ کی راہ میں جس کا خون بہایا گیا ہو اور جس کے گھوڑے کے ہاتھ پاؤں کاٹ لیے گئے ہوں ۔ 
----------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1449

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...