❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗
Do Sawal hain!
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne apne ek bande ko ikhtiyar diya ki wo Duniya ki nematon me se jo chahe Apne liye Pasand karle ya fir woh us is chiz ko ikhtiyar Karle jo Allah Subhanahu ke paas hain
Sawal1: Mafhum e hadith ke Mutabiq bande se murad Kaun Hain..?
Sawal2: aur yh sunkar ek buzurag rone lage aur farmaya hamrae walaidain aap par fida ho…. Wo buzurag kaun thy?
A: Isa Alahi Salam
B: Moosa Alahi Salam
C: Umar RadiAllahu Anhu
D: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
E: Othman RadiAllahu Anhu
F: Ibrahim Alahi Salam
G: Maaz bin Jabal RadiAllahu Anhu
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
***************
Sahi Jawab - HD✅
Reference📚:
--------------
Abu Saeed Kundri RadiAllahu Anhu se rivayet hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam minbar par tashreef farma hue aur farmaya 'Allah nay apne aik bande ko ikhtiyar diya ke woh duniya ki nematon mein se jo chahay apne liye pasand kar le ya phir woh is cheez ko ikhtiyar kar le jo Allah Subhanhau taala ke paas hain. (yeh sun kar) Abubakr RadiAllahu Anhu ronay lagey, aur arz kiya hamaray walidain aap par fida hon! hamein un ki is haalat par taajjub huwa, logon ne kaha is buzurag ko dekho Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam aik bande ke mutaliq bata rahay hain ke Allah Subhanahu ne usay ikhtiyar diya hai ke woh duniya ki naematain pasand kar le ya is cheez ko pasand kar le jo is ke paas hai, aur woh keh raha hai hamaray walidain aap par fida hon. chunancha jis bande ko ikhtiyar diya gaya tha woh Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam he they, aur Abubakr RadiAllahu Anhu hum sab se ziyada is baat ko janne walay they.
-------------------
ابوسعید خدری ؓ سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ منبر پر تشریف فرما ہوئے اور فرمایا :’’ اللہ نے اپنے ایک بندے کو اختیار دیا کہ وہ دنیا کی نعمتوں میں سے جو چاہے اپنے لیے پسند کر لے یا پھر وہ اس چیز کو اختیار کر لے جو اللہ تعالیٰ کے پاس ہے ۔‘‘ (یہ سن کر) ابوبکر ؓ رونے لگے ، اور عرض کیا : ہمارے والدین آپ پر فدا ہوں ! ہمیں ان کی اس حالت پر تعجب ہوا ، لوگوں نے کہا : اس بزرگ کو دیکھو ، رسول اللہ ﷺ ایک بندے کے متعلق بتا رہے ہیں کہ اللہ نے اسے اختیار دیا ہے کہ وہ دنیا کی نعمتیں پسند کر لے یا اس چیز کو پسند کر لے جو اس کے پاس ہے ، اور وہ کہہ رہا ہے ہمارے والدین آپ پر فدا ہوں ۔ چنانچہ جس بندے کو اختیار دیا گیا تھا وہ رسول اللہ ﷺ ہی تھے ، اور ابوبکر ؓ ہم سب سے زیادہ اس بات کو جاننے والے تھے ۔ متفق علیہ ۔
----
Sahi Hadees
Mishkat ul masabeeh # 5957
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment