Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Mafum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kiske liye farmaya ki uski namaz garden se uper nahi jayegi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kiske liye farmaya ki uski namaz garden se uper nahi jayegi?

A: Jo Jhad foonk karte hain
B: Aisa mard jo apni biwi ko gair mehram se baat karne se na roke 
C: Aisa Imaam jise log napasand karte ho
D: Amanat mein khyanat karne wala
E: Jhooti qasam kha kar samaan bechne wala
F: Aisa shaksh jo Maidan e Jung se peeth phair kar bhag jaye 
G: Aisa shakhs jo namaz mein surah fatiha ke saath koi surah na padhe 
H: In mein se koi nahi 

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************

Sahih Jawab - C✅

Reference📚:
----------
Abu Abdullah Sanabahi RadiAllahu Anhu se rivayat hai ki Junada Bin Abi Umia RadiAllahu Anhu neh kuch logon ki  كی Imamat karwayi jab woh namaz ke liye kharray huwe toh dayi taraf dehka aur kaha ki kya tum raazi ho? logon neh kaha jee haan, phir apne bayen janib aisa hi kiya phir farmaya mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se suna farma rahay they, jis neh kisi qoum ki imamat karwayi aur woh log usay napasand karte they toh is ki namaz gardan se oopar nahi jayegi
-------------

ابوعبداللہ صنابحیرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ جنادہ بن ابی امیہ رضی اللہ عنہ نے كچھ لوگوں كی امامت كروائی،جب وہ نماز كے لئے کھڑے ہوئے تودائیں طرف دیكھا  اور كہا: كیا تم راضی ہو؟ لوگوں نے كہا: جی ہاں، پھر اپنے بائیں جانب ایسا ہی كیا پھر فرمایا: میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے، جس نے كسی قوم كی امامت كروائی اور وہ لوگ اسے ناپسند كرتے تھے تواس كی نماز گردن سے اوپر نہیں جائے گی۔
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 729

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...