Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apne bhaiyon se Milne ka zikr kiya…yaha bhaiyon se murad kya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apne bhaiyon se Milne ka zikr kiya…yaha bhaiyon se murad kya hain?

A: Adam Alaihi Salam ki Qaum
B: Sahaba karam RadiAllahu Anhuma
C: Isa Alaihi Salam ki Qaum
D: Ibrahim Alaihi Salam ki Qaum
E: Mosa Alaihi Salam ki Qaum
F: Yusuf Alaihi Salam ki Qaum 
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*********

Sahi Jawab - G✅

Reference📚:

Joh log bina dehke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam par imaan laye wo Rasool-Allah Sallalahu Alahih Wasallam ke bhai hain.
---------
Syedna Anas Bin Maalik RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  mein chahta hon ke apne bhaiyon ko milon. Sahaba karaam RadiAllahu Anhu ne kaha hum aap ke bhai he hain. Aap  Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tum to mere saathi ho, mere bhai to woh hai, jo bِin dekhe mujh par imaan laynge
------------
سیدنا انس بن مالکؓ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  میں چاہتا ہوں کہ اپنے بھائیوں کو ملوں۔  صحابۂ کرام رضی اللہ عنہم  نے کہا: ہم آپ کے بھائی ہی ہیں۔ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  تم تو میرے ساتھی ہو، میرے بھائی تو وہ ہے، جو بِن دیکھے مجھ پر ایمان لائیں گے۔ 
----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 138

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...