Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Ek baar ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se daryaft kiya ke Allah Subhanahu ko kaun kaunsa amal sab se zaiyada mehboob hai toh Nabi ne irshad farmaya… apna jawab tarteeb se de?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hai aur pehle sawal mein jawab ek se zaida hai tarteeb se jawab de!

Sawal1: Ek baar ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se daryaft kiya ke Allah Subhanahu ko kaun kaunsa amal sab se zaiyada mehboob hai toh Nabi ne irshad farmaya… apna jawab tarteeb se de?

A: Jamat se namaz adaa karna
B: Witr ki namaz sone se pehle ada karna 
C: Waledain se achcha salooq karna
D: Allah ki raah mein Jihad karna
E: Waqt par namaz ada karna
F: har mahine 13, 14 aur 15 ke roze rakna 
G: Quran seekhna 

H: Sahi Jawab ka intezaar?

Sawal2: Wo Sahabi kaun thy jinhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya tha?

A: Abu Huraira RadiAllahu Anhu
B: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
C: Umar RadiAllahu Anhu
D: Abu Ubaida bin Jarah RadiAllahu Anhu
E: Ibn Masood RadiAllahu Anhu
F: Anas bin Malik RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sahi Jawab - ECD/E✅

Reference📚:
---------------------
Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Mein ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se daryaft kiya ke Allah Subhanahu ko kaunsa Amal sabse ziyada Mehboob hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam nefarmaya “Waqt par Namaz ada karna” Mein ne arz kya, phir kaunsa? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “Walidain se achcha sulooq karna” Mein ne arz kiya, phir kaunsa? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “Allah ki raah mein Jihaad karna”. Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe yeh baten batlayi, agar mein mazeed daryaft karta to Aap mujhe aur ziyada batatay.
------------------
 ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، میں نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے دریافت کیا کہ اللہ کو کون سا عمل سب سے زیادہ محبوب ہے ؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ وقت پر نماز ادا کرنا ۔‘‘ میں نے عرض کیا ، پھر کون سا ؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ والدین سے اچھا سلوک کرنا ۔‘‘ میں نے عرض کیا ، پھر کون سا ؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ اللہ کی راہ میں جہاد کرنا ۔‘‘ ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، آپ نے مجھے یہ باتیں بتائیں ، اگر میں مزید دریافت کرتا تو آپ مجھے اور زیادہ بتاتے
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 568

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...