Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Mahfoom E Hadith ke mutabiq Injeel mein Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke bare mein kya irshad farmaya huwa tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain

Sawal: Mahfoom E Hadith ke mutabiq Injeel mein Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke bare mein kya irshad farmaya huwa tha?

A: wo na badzubaan hain
B: wo na sakht hain
C: wo miskeeno ki madad karne wale hain
D: wo akhiri Nabi hain 
E: wo na baazaron mein shore karne wale hain
F: wo burai ka badla burai se nahi dene wale hain
G: wo maaf karne wale hain
H: wo darguzar karne wale hain

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sahi Jawab - ABEFGH✅

Reference📚:
---------------
Aisha Radi Allahu Anhuma se riwayat hai kehti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke bare mein Injeel mein likha huwa tha na badzubaan, na sakht, na baazaaron mein shore karne walay, na buraiee ka badla buraiee se dene wale balkay woh maaf karte hain aur darguzar karte hain.
-------------
عَنْ عَائِشَة قَالَتْ: أَنَّ رَسُولَ اللهِ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم مَكْتُوب فِي الْإِنْجِيْل: لَا فَظٌّ وَلَا غَلِيظٌ  وَلَا سَخَّابٌ  بِالْأَسْوَاق، وَلَا يَجْزِي بِالسَّيِّئَة مِثْلَهَا بَل يَعْفُو وَيَصْفَح
------------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مروی ہے کہتی ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے بارے میں انجیل میں لکھا ہوا تھا :نہ بدزبان ،نہ سخت، نہ بازاروں میں شور کرنے والے، نہ برائی کا بدلہ برائی سے دینے والے بلکہ وہ معاف کرتے ہیں اور درگزرکرتے ہیں۔
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2172

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...