❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaida hain!
Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Astagfar karne walo ke liye kya fazilat ya inamat hain?
A: Uske gunah maaf kar diye jayege chahe wo maidan e jund se bhag gaya ho
B: Tangi se nikalne ka ek raasta farmayega
C: Gam se nijat
D: Rozi ata farmayega
E: Qarz se nijat
F: uska Amal nama usse khush kardega
G: Jannat mein ghar
H: Achchi Sehat
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
*************
Sahi Jawab - ABCDF✅
Reference📚:
Astagfar ki fazilat
-------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne ye kalimat kahe to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
Tarjuma : Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu
Sunan Abu Dawud,Jild 1,1504-Sahih
------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Astigfar karne ko apne upar laazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har Gam se Nijat dega aur aisee jagah se Rozi ata farmayega jahan se usko Guman bhi nahi hoga
Al Muajjam Al Kabir,Tabrani-Sahih
------
Zubair bin awwam radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo aadmee ye baat pasand karta ho ki uska aamal nama usko khush kar de to wo zyada se zyada astagfar kiya kare
Sahih Hadees
Al Silsila Sahiha ,2945
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 942❗ Sawal: Dhokha dene wala Qayamat ke din kaise pehchana jayega? A: wo sabse ziyada khauff mein mubtala hoga B: w...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Insan ka bure hone ka saboot kaise pata chalta hain A: Mazlum ki madad na karna B: Maal ki zakat ada na kar...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis ke liye farmaya samjho ke wo gharaat hogaya? A: Joh Husn ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kis ke liye farmya ke yh har musalmaan par haq hain A: Nikah kar...
-
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Allah Subhanahu ke naam ke muqable mein koi cheez bhaari nahi ho sakti {أَشْهَدُ أَنْ ل...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Fajar ki Namaz ke baad padhne ki dua..Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr wa min fitnatil-Qabri. -...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 946❗ Sawal: wo kaunsa amal hai jiske karne wale ke liye farmaya gaya hai ke wo sood ke bade darwaze mein dakhil hog...
No comments:
Post a Comment