❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do Sawal hain aur dono sawal mein jawab ek se zaida hain!
Sawal1: Mahfum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne in mein se kaun se sahabi ko acha Shakhs kaha?
Sawal2: Aur kaun se sahabi ko behtareen shaqs/aadmi kaha?
A: Hussain RadiAllahu Anhu
B: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
C: Umar RadiAllahu Anhu
D: Abu Ubaida bin Jarah RadiAllahu Anhu
E: Aaseed bin Huzair RadiAllahu Anhu
F: Saabit bin Qais bin Shamaas RadiAllahu Anhu
G: Maaz bin Jabal RadiAllahu Anhu
H: Umro bin Jamwa RadiAllahu Anhu
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
**********************
Sahi Jawab – 1. BCDEG✅
2. AFH✅
Reference📚:
------------
Yali bin maraah RadiAllahu Anhu se riwayat hain, kehte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Hussain mujh se hai aur mein Hussain se hon. Allah Subhanahu ta’ala is se mohabbat kare jo Hussain se Mohabbat kare. Hussain aik behtareen nawasa hai, (ya behtareen shakhs hai) .
-------------
یعلی بن مرہ سے مروی ہے، کہتے ہیں کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: حسین مجھ سے ہےاور میں حسین سے ہوں۔ اللہ تعالیٰ اس سے محبت کرے جو حسین سے محبت کرے۔حسین ایک بہترین نواسہ ہے ،(یا بہترین شخص ہے)۔
-------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3477
---------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya acha shakhs hai Abubakr, acha shakhs hai Umar, acha shakhs hai Abu Ubaida bin Jarah, acha shakhs hai Aaseed bin Huzair, behtareen aadmi hai Saabit bin Qais bin Shamaas, behtareen aadmi hai Maaz bin Jabal aur acha shakhs hai Maaz bin Umro bin Jamwa RadiAllahu Anhu
----------
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ اچھا شخص ہے ابوبکر ، اچھا شخص ہے عمر ، اچھا شخص ہے ابوعبیدہ بن جراح ، اچھا شخص ہے اسید بن حضیر ، بہترین آدمی ہے ثابت بن قیس بن شماس ، بہترین آدمی ہے معاذ بن جبل اور اچھا شخص ہے معاذ بن عمرو بن جموح رضی اللہ عنھم ۔‘‘ اسنادہ صحیح ، رواہ الترمذی ۔
--------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 6233
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images

La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...

-
Bismillahirrahmanirraheem ✦ Jazak Allahu Khairan - Allah aapko achcha sila ata farmaye --------------- ✦ Usamah bin zaid radi allahu anhu se...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jo Musalman inn addatoh ko iktiyaar karega toh Jannat mein Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam haat...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Hadith mein kiske liye kaha gaya hai ki us se Nafs ko taskeen aur dil ko itminan milta hain A: Laa ilaha il...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se zaiyda hain! Ek martaba Banu Tamim ka ek shaqs Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ke pass aaya au...
-
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Aibo ko chupane ki dua jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam subah aur shaam ko padhna kabhi nahi chod...
-
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Kalma-e-Shahadat ki taqat aur uski ahmiyat --------------------- Abdullah bin amr bin aas...
-
✅ Ramadan Check List ✅ Try to make all the following deeds your routine during these days of Ramadan. 1️⃣ Fasting (The fast in which ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis namaz ke liye farmaya ki Jo bhi padhna chahe padhle is khau...
-
❗Only-Quran-Hadith Quiz❗ Sawal: kaunse shakhs ke gunaho ko Allah Subhanahu itni he miqdaar mein kaffara bana dega A: apni kisi pyari cheez ...
No comments:
Post a Comment