Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

kaunse shaqs ko Allah Qayamat ke din tak sawab se nawazta rahega aur Qayamat ke roz bhi usse pura pura sawab aata karega?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ko Allah Qayamat ke din tak sawab se nawazta rahega aur Qayamat ke roz bhi usse pura pura sawab aata karega?

A: Jo Mazak mein bhi jhoot na bole
B: Jo har roz Quran ki tilawat karta hai
C: Jo Yateem ki parwarsih karta hai
D: Jab banda namaz ke liye ghar se nikalta hai 
E: Jo Gheebat karne se apni hifazat karta hai
F: Jo apne Zuban ki hifazat kare
G: Jo Chast ki namaz padhta hai 
H: Inmein se koi nahi 

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

***************

Sahi Jawab – H ✅{ apni zabaan ko aisi neki ke liye istemaal karta hai ke jis par is ke baad bhi amal kiya jata hai}

Reference📚: 

Sayedna Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shakhs apni zabaan ko aisi neki ke liye istemaal karta hai ke jis par is ke baad bhi amal kiya jata hai to Allah Subahnahu taala usay Qayamat ke din taq sawab se nawazta rehta hai aur qayamat ke roz usay poora poora sawab ataa karega.
----------------
 ۔ سیدناانس بن مالک رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو شخص اپنی زبان کو ایسی نیکی کے لیے استعمال کرتا ہے کہ جس پر اس کے بعد بھی عمل کیا جاتا ہے تو اللہ تعالیٰ اسے  قیامت کے دن تک ثواب سے نوازتا رہتا ہے اور قیامت کے روز اسے پورا پورا ثواب عطا کرے گا۔ 
------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 3638

No comments:

Post a Comment

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...