Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Ek shakhs ne dusre shakhs ko ek surat ko barbar parhte suna jab subah huwi toh woh Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke pass aaya aur iska tazkira kiya kuyke wo uss surat ko kamtar samajh raha tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain!

Ek shakhs ne dusre shakhs ko ek surat ko barbar parhte suna jab subah huwi toh woh Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke pass aaya aur iska tazkira kiya kuyke wo uss surat ko kamtar samajh raha tha?

Sawal1: wo shakhs kaunsa surah ko kumtar samaj raha tha?

A: Surat un Naas
B: Ayat Al Kursi
C: Surat ul Baqara ki akhri do ayat
D: Surat ul Asar
E: Surat ul Falaq
F: Surat ul Kafiroon
G: Surat ul Ikhlaas
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal2: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne uss surat ki kya fazilat batayi? 

Apna jawab khud likhe……………….?

****************

Sahi Jawab - ✅G/Ek tihai Quran ke barabar hain.

Reference📚:

Surat ul Ikhlaas ki fazilat
-------------
Ek shakhs ne dosray shakhs ko « قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ » barbar parhte suna, jab subah huwi to woh Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke paas aaya aur Aap se is ka tazkara kiya, goya woh is surat ko kamtar samajh raha tha, Nabi Akram Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Qasam hai is zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai, yeh (surah) Ek tihai Quran ke barabar hain.
---------------
Abu Saeed al-Khudri said: A man heard another man reciting  Say, He is Allah, One  He was repeating it. When the next morning came, he went to the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam and mentioned to him. The man tool it (this surah) as a small one. The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam said: By Him in Whose Hand is my life, it is equivalent to a third of the Quran. 
---------------
Sahih Hadees

Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1461

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...