Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Mahfuhm e hadith ke mutabiq In mein se Ahl-e-bait kaun kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain aur pehle sawal mein jawab ek se zaida hain!

Sawal1: Mahfuhm e hadith ke mutabiq In mein se Ahl-e-bait kaun kaun hain?

A: Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki biwiya
B: Ali RadiAllahu Anhu aur unki auladein
C: Zaid RadiAllahu Anhu aur unki auladein
D: Aqil RadiAllahu Anhu aur unki auladein
E: Jafar RadiAllahu Anhu aur unki auladein
F: Abbas RadiAllahu Anhu aur unki auladein
G: Umar RadiAllahu Anhu aur unki auladein

Sawal2: Ahl-e-bait par kaunsi cheez haram hain?
(Apna jawab khud lilkhe)


H: Sahi Jawab ka Intezaar?

***************

Sahi Jawab - ABDEF/(Sadqa/Zakat)✅

Reference📚:

Ahl-e-bait par Sadqa aur Zakat Haraam hain
---------
Hushain bin hayyan se rivayat hai ki Zaid radi allahu anhuma ne kaha ki ek din Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam khutba sunane ke liye khade huye aur farmaya main tumhare beech do bhari cheezein chorh kar ja raha hu ek to Allah ki kitab hai jismein hidayat aur noor hai to Allah ki kitab ko thame raho aur isko mazbuti se pakde raho aur dusri cheez mere ahl-e-bait hain main Allah ki yaad dilata hu tumhe mere ahl-e-bait ke mutalliq , hussain radi allahu anhu ne kaha Ahl-e-bait kaun hain Eh zaid ? Kya Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki biwiya ahl-e-bait nahi hain ? Zaid radi allahu anhu ne kaha ki biwiya bhi ahl-e-bait mein dakhil hain , aur Ahl-e-bait wo hain jin par zakat haram hai Hushain radi allahu anhu ne kaha ki wo kaun log hain ? Zaid ne kaha ki Wo Ali aur Aqil aur jafar aur Abbas radi allahu anhuma ki auladein hain phir Hushain ne pucha ki in sab par sadqa haram hai to zaid radi allahu anhu ne kaha HAAN
 Sahih Muslim, Vol 6 , 6225 
-------------
Narrated by Hussain bin hayyan that Zaid radi allahu anhuma said One day Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam stood up to deliver sermon and said I am leaving among you two weighty things: the one being the Book of Allah in which there is right guidance and light, so hold fast to the Book of Allah and adhere to it. He exhorted (us) (to hold fast) to the Book of Allah and then said: The second are the members of my household (Ahl-e-bait) I remind you (of your duties) to the members of my family. He (Husain) said to Zaid: Who are the members of his household (Ahl-e-bait)? Aren't his wives the members of his family? Thereupon he said: His wives are the members of his family (but here) the members of his family are those for whom acceptance of Zakat is forbidden. And he said: Who are they? Thereupon he said: Ali and the offspring of Ali, Aqil and the offspring of Aqil and the offspring of Ja'far and the offspring of Abbas. radi allahu anhuma Husain said: These are those for whom the acceptance of Zakat is forbidden. Zaid said: Yes. 
--------------
Sahih Muslim, Book 31, 5920

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...