Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo insaan ke liye khushiyo ki raahein asan karne wala hain

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hai

Sawal: kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo insaan ke liye khushiyo ki raahein asan karne wala hain

A: Khamoshi 
B: Allah Subhanahu Ka khauf 
C: Sabr 
D: Allah Subhanahu ki rah mein Sadqa karna
E: Salam mein pehal 
F: Laa illaha illallaha ka iqrar karna 
G: Logo ko maaf karna 
H: Hajj aur Umrah karna

I:Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - BDF✅

Reference📚:
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Allah Subhanahu Ka ye farman Irshad faramaya jo Shaks Allah Subhanahu Ke raste mein kharch karen Allah Subhanahu se dare aur Kalma tawheed ( laa illaha illallaha) ki tasdik karen to ham Uske liye asani aur khushi ki rah asaan kar denge aur Jo Shaks Bukhl Karen duniya ki shehwat (duniya ki Khuwaish) mein padh kar Jannat ki naimaton se be parwayee karen aur Kalma e tawheed ko jhutlaye to hum uske liye sakhti aur badbakhti ki raah asan Kar denge
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے اللہ تعالیٰ کا یہ فرمان سنایا: جو شخص اللہ کے راستے میں خرچ کرے، اللہ سے ڈرے، اور کلمہ توحید کی تصدیق کرے تو ہم اس کے لیے آسانی اور خوشی کی راہ آسان کر دیں گے، اور جو شخص بخل کرے، دنیوی شہوات میں پڑ کر جنت کی نعمتوں سے بے پروائی برتے اور کلمہ توحید کو جھٹلائے تو ہم اس کے لیے سختی اور بدبختی کی راہ آسان کر دیں گے ۱؎۔
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  recited: “So he who gives (in charity) and fears (Allah), and in all sincerity testifies to the best, we will indeed make smooth for him the path to bliss. But he who is a greedy miser and thinks himself self-sufficient, and gives the lie to the best, We will indeed make smooth for him the path of misery. ” 
-------‐
Sunan Abu Dawud Volume 4 , 4694 Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...