Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Kaunsa taqqabur Allah Subhanahu ko pasand hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Kaunsa taqqabur Allah Subhanahu ko pasand hain

A: Sadqa dete waqt khushi se itrana 
B: wo Namazi jo panch waqt ki namaz masjid mein adda kare aur khushi mehsoos kare yh khushi se itraye
C: Allah Subhanahu ke zikr ki majlis mein baithne wala aur khushi se itrane wala
D: Quran ki achchi tarah tilawat karna aur khushi mehsos karna
E: Ilm hasil karne wala aur apne ilm par itrana 
F: Jung ke dauran jihad karte waqt itrana 
G: Sarhad par pehrah dena aur usper itrana 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - AF✅

Reference📚:
-------
Nabi Akram Salallahu Alahi wasallam farmatay thy Ek ghairat woh hai jisay Allah pasand karta hai, aur doosri ghairat woh hai jisay Allah napasand karta hai, rahi woh ghairat jisay Allah pasand karta hai to woh shak ke maqamat mein ghairat karna hai, rahi woh ghairat jisay Allah napasand karta hai woh shak ke ilawa mein ghairat karna hai, aur taqqabur mein se aik woh hai jisay Allah napasand karta hai aur dosra woh hai jisay Allah pasand karta hai, pas woh taqqabur jisay Allah pasand karta hai woh larai ke douran aadmi ka kafiroon se Jihaad karte waqt taqqabur karna aur itrana hai, aur sadqa dete waqt is ka khushi se itrana hai, aur woh taqqabur jisay Allah napasand karta hai woh zulm mein taqqabur karna hai, aur Moosa ki rivayet mein hai : fakhr o mubabad mein taqqabur 
karna hai
------------
Narrated Jabir ibn Atik: The Prophet (ﷺ) said: There is jealousy which Allah loves and jealousy which Allah hates. That which Allah loves is jealousy regarding a matter of doubt, and that which Allah hates is jealousy regarding something which is not doubtful. There is pride which Allah hates and pride which Allah loves. That which Allah loves is a man's pride when fighting and when giving sadaqah and that which Allah hates is pride shown by oppression. The narrator Musa said: "by boasting."
-------------
Grade : Hasan (Al-Albani)
Reference : Sunan Abi Dawud 2659
In-book reference : Book 15, Hadith 183
English translation : Book 14, Hadith 2653

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...