Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Anbiya ke waris kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal : Anbiya ke waris kaun hain?

A: Sahaba Radi Allahu Anhu
B: Ilm wale
C: Hijrat karne wale
D: Jihad karne wale
E: Tahajjud padhne wale
F: Hajj karne wale
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezar hai

***************

Sahi Jawab - B✅

Referecen📚:

Syedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Ilm wale ko ibadat guzaar par itni fazeelat haasil hai, jaisay chaand ki baqiya sitaron par hai, beshak Ahale Ilm he Anbiya-e Karaam ke waris hain, unhon ne virsay mein darham o dinar nahi liye, balkay ilm wusool kiya, pas jis shakhs neh ilm haasil kiya, is ne (Nabwi meeras se) bharpoor hissa le liya.
------------------
سیدنا ابو درداءؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  علم والے کو عبادت گزار پر اتنی فضیلت حاصل ہے، جیسے چاند کی بقیہ ستاروں پر ہے، بیشک اہل علم ہی انبیائے کرام کے وارث ہیں، انھوں نے ورثے میں درہم و دینار نہیں لیے، بلکہ علم وصول کیا، پس جس شخص نے علم حاصل کیا، اس نے (نبوی میراث سے) بھرپور حصہ لے لیا۔ 
------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 246

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...