❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Rasool-Allah Sallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke unhe Namaz-e-Fajar se tulu e aftaab taq yh Namaz-e-Asar se ghuroob aftaab tak baith kar Allah Subhanahu ka zikr karte rahe yh tasbeeh aur tahleel bayan karte rahe toh usse bhi ziyada mehboob unhe wo amal hai…
Sawal: Wo Amal kaunsa hai?
A: SubhanAllaahi wa bihamdihi Adada khalqihi ,Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi Wa Midaada Kalimaatihi
B: Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
C: Subhanaka Allahumma Wa bi hamdika, Wa tabarakas-muka, wa taala jadduka, wa la ilaha gairuka.
D: La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
E: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
F: Allahu Akbar kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**************
Sahi Jawab – G✅
Reference📚:
------------
Syedna Abu Amama RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar mein (Namaz-e Fajar se) tulu aftaab taq baith kar Allah taala ka zikar karta rahon aur is ki barayi, hamd, tasbeeh aur Tahleel bayan karta rahon to yeh amal mujhe is se ziyada mehboob hai ke mein Ismael Alaihi Salam ki aulaad mein se do ya zayed gardanon ko azad karoon, aik rivayet mein chaar gardanon ka zikar hai, aur agar mein Namaz-e Asar se ghuroob aftaab taq yahi zikar karta rahon to yeh Amal mujhe is se ziyada pasand ho ga ke mein Ismael Alaihi Salam ki aulaad se chaar gardanein azad karoon .
------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5508
******
In sha Allah hum bhi yh sawab roz kama sakte hain roz subah aur shaam 10 martaba yh kalimat padne se
----------------------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jo Shaks Subha ke waqt
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ،
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu lahul mulk wa lahul hamd wa huwa ala kulli shayee qadir
kahe to usko Ismail Alaihi Salam ki Aulad mein se ek gardan (yani gulam) Aazad Karne ke barabar sawab milega, uske liye 10 nekiyan likhi jayegi ,10 burayeeya mita di jayegi aur uske 10 darjat buland Kar diye jayenge ,aur wo Shaam tak Shaitan ki burayee se Mehfuz rahega aur agar Shaam ke Waqt kahe to Subah tak uske Sath yahi mamala Hoga
---------------------
Sunan Abi Dawood Jild 3 ,1640-Sahih
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَاعْتَصِمُوا بِحَبْلِ اللَّهِ جَمِيعًا وَلَا تَفَرَّقُوا ------- Allah Subhanahu Taalaa ki rassi ko mill kar sab ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazeelat ---- Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-All...
-
Bismillahirrahmannirrahim إِنَّ وَلِيِّيَ اللَّهُ ------- Yaqeenan mera Madadgar Allah Subhanahu hain. ------- بیشک میرا مددگار اللہ ہے ---...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jo 10 martaba ye kalimat padhega to 100 gulam aazad, 100 nekiya aur 100 burayee mita di jayegi ----- لاَ إ...
-
Bismillahirrahmannirrahim سُبحـان اَللّه الحَمدُ لِلّه لَا إِلَهَ إِلا اَللّه اللّهُ أَكبَر اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد -------- SubhanA...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jis shaqs se Allah Subhanahu Mohabbat karta hain wo roye zameen per bhi maqbool hojata hain ------------- ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ jawab ek se zyada Sawal: Qabr mein Insan jab waha puche jane wale sawalo ke jawab nahi deta to uske saath kya k...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Insan jab tak Astagfaar karta rehta hai Allah Subhanahu ke azaab se Aman mein rehta hain ----- Rasool-Alla...
No comments:
Post a Comment