Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

kaunse amal karne se beemari se tandrusti hasil hoti hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse amal karne se beemari se tandrusti hasil hoti hain

A: Astagfaar padne se
B: Thande pani se Wazu karne se
C: Garam pani peene se 
D: Baith kar pani peene se
E; Teen saans mein pani peene se
F: Subah Shaam Surah Ikhlas aur Surah Naas dum karne se
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*********************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
------
Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ peene mein teen martaba saans lete they, aur farmatay they is se khoob Sairy hoti hai, pyaas bhi ziyada bujhti hai ya beemari se tandrusti hoti hai aur pani aasani se galaay se utarjata hai, aur Hazrat Anas RadiAllahu Anhu farmatay hain : ke mein peenay mein teen martaba saans laita hu
------
حضرت انس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی ﷺپینے میں تین مرتبہ سانس لیتے تھے ، اور فرماتے تھے : اس سے خوب سیری ہوتی ہے ، پیاس بھی زیادہ بجھتی ہے یا بیماری سے تندرستی ہوتی ہے ، اور پانی آسانی سے گلے سے اترجاتا ہے ،اور حضرت انس رضی اللہ عنہ فرماتے ہیں: کہ میں پینے میں تین مرتبہ سانس لیتا ہوں
------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees No. 5287

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...