❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunsa Amal Shaitan ke Amal ke darwaze khol deta hain?
A: Sharab peene ka aadi
B: Juwa khele ka addi
C: Sood lena aur dena
D: Jhoot bolne wala
E: Ilm chupane wala
F: Halala karne par
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
******************
Sahi Jawab - G✅ {"Kash" kehna}
Reference📚:
---------------------
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayet hai, kaha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya taaqat warr Momin Allah ke nazdeek kamzor Momin ki nisbat behtar aur ziyada Mehboob hai, jabke khair dono mein (mojood) hai jis cheez se tumhe (haqeeqi) naffa puhanche is mein hiras karo aur Allah se madad mango aur kamzor nah parro (mayoos ho kar nah baith) jao, agar tumhe koi (nuqsaan) puhanche to yeh nah kaho Kash! mein (is terhan) karta to aisa aisa hota, balkay yeh kaho (yeh) Allah ki taqdeer hai, woh jo chahta hai karta hai, is liye ke (hasrat karte hue) Kash (kehna) Shaitan ke Amal (ke darwazay) ko khol deta hai .
-----------------------
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، کہا : رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : طاقت ور مومن اللہ کے نزدیک کمزور مومن کی نسبت بہتر اور زیادہ محبوب ہے ، جبکہ خیر دونوں میں ( موجود ) ہے ۔ جس چیز سے تمہیں ( حقیقی ) نفع پہنچے اس میں حرص کرو اور اللہ سے مدد مانگو اور کمزور نہ پڑو ( مایوس ہو کر نہ بیٹھ ) جاؤ ، اگر تمہیں کوئی ( نقصان ) پہنچے تو یہ نہ کہو : کاش! میں ( اس طرح ) کرتا تو ایسا ایسا ہوتا ، بلکہ یہ کہو : ( یہ ) اللہ کی تقدیر ہے ، وہ جو چاہتا ہے کرتا ہے ، اس لیے کہ ( حسرت کرتے ہوئے ) کاش ( کہنا ) شیطان کے عمل ( کے دروازے ) کو کھول دیتا ہے ۔
----------------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 6774
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment