Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Wada-e-azab ke din kya hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Wada-e-azab ke din kya hoga?

A: Soor phooka jayega
B: Miadan e hashar ke taraf lane wala faristha hoga
C: hisab kitab ke waqt gawahee dene wala faristha hoga
D: har shaks ke saath do faristhe honge
E : Har shaksh ke siro par aamal naam hoga
F :  Har shaksh Madina mein aakar khade ho jayenge

G: Sahi Jawab ka intezzar

****************

Sahi Jawab -ABCD✅

Reference📚:

Bismillahirrahmannirrahim

وَ نُفِخَ فِی الصُّوۡرِ ؕ ذٰلِکَ یَوۡمُ الۡوَعِیۡدِ 
Aur soor phonk diya jayega.Wada-e-azab ka din yehi hai.
----------
وَ جَآءَتۡ کُلُّ نَفۡسٍ مَّعَہَا سَآئِقٌ وَّ شَہِیۡدٌ 
 Aur her shaks iss tarah aayega kay uss kay sath aik lanay wala hoga aur aik gawahee denay wala. 
---------------
Tafseer Taqi Usmani: Yani jab kabro se nikal kar Insan Maidan-E-Hashar ki taraf jayega toh do Faristhey har ek ke saath hoga, in mein se ek toh inhe Maidan Hashar ki taraf haak kar le jayega aur ek Faristha is liye hoga ke wo hisab o kitab ke waqt is ke aamal ki gawahi de, baaz mufsareen ne farmaya hai ke yh wahi do farishtey honge jo duniya mein is ke aamal nama likha karte thy.
---------------
Al Quran: (Surah Al Qaf (50:20,21)

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...