Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Yh Misal inmein se kiske liye bayan farmayi hain? Uss ghor sawaar ki si hai jis ko iska ghora usse apni pusht par sawaar kar ke Allah Subhanahu ke rastay mein apne dushman ki taraf ghoray par taizi se dora ja raha ho

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Yh Misal inmein se kiske liye bayan farmayi hain?
Uss ghor sawaar ki si hai jis ko iska ghora usse apni pusht par sawaar kar ke Allah Subhanahu ke rastay mein apne dushman ki taraf ghoray par taizi se dora ja raha ho 

A: Jihad karne wale ke liye
B: Shaheed ke liye
C: Har waqt ba wazu rehne wale ke liye
D: Beemar ki Adayat karne wale shaqs ke liye
E: Ek namaz ke baad doosri namaz ka intezaar karne wale ke liye
F: Hajj karne wale shaqs ke liye
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
---------------------
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ek namaz ke baad doosri namaz ka intezaar karne walay ki misaal is ghor sawaar ki hai, jis ko is ka ghora usay apni pusht par sawaar kar ke Allah ke rastay mein apne dushman ki taraf ghoray par taizi se dora ja raha ho, jab taq intezaar karne wala shakhs be wudu nahi ho jata, is waqt taq farishtay is ke liye duaye rehmat karte rehtay hain, jabkay woh aadmi rabat akbar mein hota hai.
-------------------
سیدنا ابو ہریرہؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  ایک نماز کے بعد دوسری نماز کا انتظار کرنے والے کی مثال اس گھوڑ سوار کی ہے، جس کو اس کا گھوڑا اسے اپنی پشت پر سوار کر کے اللہ کے راستے میں اپنے دشمن کی طرف گھوڑے پر تیزی سے دوڑا جا رہا ہو، جب تک انتظار کرنے والایہ شخص بے وضو نہیں ہو جاتا، اس وقت تک فرشتے اس کے لیے دعائے رحمت کرتے رہتے ہیں، جبکہ وہ آدمی رباطِ اکبر میں ہوتا ہے۔ 
--------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1037

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...