Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Mahfum e Hadith ke mutabiq wo kaunsa Amal hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek Namaz, Zakat aur Jihad se bhi zaida Mehboob ya pasandeeda Amal hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e Hadith ke mutabiq wo kaunsa Amal hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek Namaz, Zakat aur Jihad se bhi zaida Mehboob ya pasandeeda Amal hain?

A: Ahle baith se Mohabbat
B: Sahabi RadiAllahu Anhuma se Mohabbat
C: Paak rehna
D: Masjid tamir karna 
E: Waliden se Mohabbat karne wala 
F: Allah ke liye Mohabbat karna aur ussi ke liye bughz rakhne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

****************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
------------
Sayedna Abbu Zar RadiAllahu Anhu se riwayat hain, woh kehte hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam hamaray paas tashreef laaye aur farmaya: kya tum jantay ho ke konsa amal Allah Subhanahu ta’ala ko sab se ziyada Mehboob hain? ek aadmi naay kaha Namaz aur zakat, aur kisi ne kaha ke Jihaad hai, Aap  Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshak Allah Subhanahu ta’ala ko sab se ziyada pasandeeda Amal yeh hai ke Allah Subhanahu ta’ala ke liye mohabbat ki jaye aur ussi ke liye bughz rakha jaye.
--------------
 ۔ سیدنا ابو ذر رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ہمارے پاس تشریف لائے اور فرمایا: کیا تم جانتے ہو کہ کون سا عمل اللہ تعالیٰ کو سب سے زیادہ محبوب ہے؟ ایک آدمی نے کہا: نماز اور زکوۃ، اور کسی نے کہا کہ جہاد ہے، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: بیشک اللہ تعالیٰ کو سب سے زیادہ پسندیدہ عمل یہ ہے کہ اللہ تعالیٰ کے لیے محبت کی جائے اور اُسی کے لیے بغض رکھا جائے۔
--------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9447

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...