❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaida hain!
Ek baar ek sahabi Rasoo-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath safar mein unki oont ki nakeel pakar kar chal rahe thy, tabhi Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne un sahabi ko kuch behtareen suratein shikayi?
Sawal: wo suratein kaun si hain jinhe wo sahabi seekney se bohat zaida khush na thy?
A: وَ الۡعَصۡرِ
B: اِذَا جَآءَ نَصۡرُ اللّٰہِ وَ الۡفَتۡحُ
C: قُلْ أَعُوذُ بِرَبّ النَّاسِ
D: قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
E: قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ
F: قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
****************
Sahi Jawab - EC✅
Reference📚:
-------
Uqbah ibn Amir Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein ek safar mein Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke oont ki nakeel pakar kar chal raha tha, Aap ne farmaya Uqbah! kya mein tumhe do behtareen suratein na sikhaon? phir Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe « قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ » aur « قُلْ أَعُوذُ بِرَبّ النَّاسِ» sikhayin, lekin Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe un dono (ke seekhnay) se bohat ziyada khush hotay nah paaya, chunancha jab Aap Sal-Allahu alaihi wasallam Fajar ke liye (sawari se) utare to logon ko namaz parhai aur yahi dono suratein parheen, phir jab namaz se farigh huwe to meri taraf mutwajjah ho kar farmaya Uqbah! tum ne inhen kya samjha hain.
----------------
Narrated Uqbah ibn Amir: I was driving the she-camel of the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam during a journey. He said to me: Uqbah, should I not teach you two best surahs ever recited? He then taught me: Say, I seek refuge in the Lord of the dawn, and Say, I seek refuge in the Lord of men. He did not see me much pleased (by these two surahs). When he alighted for prayer, he led the people in the morning prayer and recited them in prayer. When the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam finished his prayer, he turned to me and said: O Uqbah, how did you see.
--------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1462
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment