Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Allah Subhanahu jab kisi band ke saath bhalayi chahata hai toh uske saath kya farmata hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hai!

Sawal: Allah Subhanahu jab kisi band ke saath bhalayi chahata hai toh uske saath kya farmata hai? 

A: Deen ki samajh aata farma deta hai
B: Logo mein mehboob bana deta hai
C: Tauba karne ki taufeeq aata farma deta hai
D: Neik Amal karne ki taufeeq aata farma deta hai
E: Museebato mein mubtala kar deta hai
F: Rizq mein barkat aata farna deta hai
G: Fariston ke samne unka zikr karte hai
H: Beemari ki takleef mein mubtala kar deta hai

I: Sahi Jawab ka intezaar?

**************

Sahi Jawab - ABDEH✅

Reference📚:
------------
Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jab Allah Subhanahu Kisi bande ke sath bhalayee Ka irada karta hai to usay logo main mehboob bana deta hai kisi ne Kaha mehboob bana dene se kya murad hai ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu usko Marne se pehle neik aamal Karne ki taufeeq ata farma deta hai phir ussi halat par usko maut de deta hai
Musnad Ahmed 2985 – Sahih
*******
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jiske saath Allah subhanahu bhalayee chahta hai usko deen ki samajh ata farma deta hai aur Allah hi dene wala hai aur main to taqseem karne wala hu aur ye ummat apne dushmano ke muqable mein hamesha galib rahegi yaha tak ki Allah ka hukm (Qayamat) aa jaye aur us waqt bhi ye galib hi hogi
Sahih Bukhari, Jild 4, 3116 
******
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu jiske saath khair aur bhalaii karna chahta hai usey beemari ki takleef aur dusri musibaton mein mubtala kar deta hai. 
Sahih Bukhari, Vol 7, 5645

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...