❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Inmein se kaunse amal ko shaitani amal kaha gaya hai?
A: Taweez phene par
B: Zina karne par
C: Khane ke baad ki dua nahi padhne par
D: Wazu ke bagira mushaf ko haath lagane par
E: Namaz mein susti karne par
F: Padosi ko takleef dena par
G: khane ke waqt Bismillah nahi padhne par
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
****************
Sahi Jawab - A✅
Reference📚:
-------------
Hazrat Abdullah bin masood ki biwi Zainab Radhi allahu anhuma ne kaha ki Abdulllah bin Masud Radi Allahu Anhu ne kaha Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki taweez, gandey (mantra) wagairah sab shirk hai , ye sunkar zainab ( Hazrat Abdullah ki biwi Radi allahu anhu) ne kaha ki tum ye kya kahte ho Allah ki kasam meri aankh Dard ki shiddat se bahar nikalne ko thi aur main falah yahudi ke pass jaya karti thi wo mujhe taweez diya karta tha jab usne mujhe taweez diya to mujhe sukun ho gaya to Hazrat Abdullah kahne lage ye to shaitani amal hai jabki wo ( Shaitan) apne haath se usey ( yani aankh) dabaya karta tha jab us yahudi ne us par dam kiya to wo shaitan us Amal sey ruk gaya ( taaki tum us taweez par hi yakeen karne lag jao) aur beshak tumhare liye yahi kaafi hai ki tum is tarah kah diya karo jaise ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmaya kartey they
اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا
Allahumma Rabbin Nasi, Adhabal basa, Ashfi Wa Anta shafee, La shifaaa illa shifauuka, shifa'an La Yugadiru Saqama
Eh Allah logon ke Rab , Takleef ko dur karne wale, Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai, aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.
-----------
-Sunan Abu Dawud, Vol3, 485-Sahih-
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment