Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Wazu ki kya fazeelat hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hai...

Sawal: Wazu ki kya fazeelat hai?

A: Wazu karne wale ki hateli ko lagne wale pani k pahle qatre k sath hi bakhsh diya jata hai 
B: Mukammal wazu karna imaan ka hissa hai
C: Wazu karne wala jab wazu se farigh hota hai to uske pichle gunah maaf kiye ja chuke hote hai
D: Koi shakhs achchi tarah wudhu kare aur phir Masjid ki taraf jaye to uske har qadam par Allah subhanahu uska ek darja buland farma dete hain aur ek khata maaf farma dete hain 
E: Jo shakhs achchi tarah wudhu kare aur phir kahe ki Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu Aise shaksh ke liye jannat ke 8 darwaze khol diye janyege aur wo shaksh jannat ke jis darwazey se chahey dakhil ho jaye 
F: Achi tarah wazu karne wala Allah k mehboob bando mai hoga

G.Sahi jawab ka intezar hai

***************

Sahi Jawab - ACBDE/ABCDE✅

Reference📚:
--------------
Abu Ghalib Rasbi Radi Allahu Anhu kehte hain mein Syedna Abu Amama Humsi RadiAllahu Anhu ko mila aur un se kuch cheezon ke barey mein sawal kiye, unhon neh bayan kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo aadmi kisi namaz ki azaan sun kar wudu ke liye khara hota hai to is ki hatheli ko lagnay walay pani ke pehlay qatray ke saath hi is ko bakhash diya jata hai, inn qatroun ki tadaad ke barabar yeh silsila jari rehta hai, yahan taq jab woh wudu se farigh hota hai to is ke pichlle gunah maaf kiye ja chuke hotay hain aur is ki parhi jane wali namaz zayed hoti hai. Abu Ghalib kehte hain mein neh Syedna Abu Amama se kaha to neh Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam se yeh hadees suni hai? Unhon neh kaha kyun nahi, is zaat ki qisam jis neh Aap Sallallahu Alahih Wasallam ko haq ke saath Basheer o Nazeer bana kar bheja! Ek dafaa nahi, do, teen, chaar, paanch, chay, saat, aath, nav, das aur das baar nahi, phir unhon neh is tadaad ko zahir karne ke liye apne hathon se taali bajai.

Musnad Ahmed Hadees # 602
-------------------
Abu Malik Ashari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya puri tarah wudhu karna imaan ka hissa hai aur Alhadulillah kahne se meezan bhar jata hai, 
Tasbeeh (SubhanAllah) aur takbir (Allahu Akbar) se zameen aur aasman bhar jate hain 
Namaz noor hai aur zakat daleel hai, sabr roshni hai aur Quran hujjat hai tumhare haq mein ya tumhare khilaf, har aadmee subah ko apne nafs ko bechta hai, koi isko aazad kar leta hai aur koi usko halaq kar leta hai 
Sunan ibn Majah, Vol 1, 280-Sahih 
_____
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab tum mein se koi wudhu kare aur achchi tarah wudhu kare, aur phir Masjid ki taraf jaye to uske har qadam par Allah subhanahu uska ek darja buland farma dete hain aur ek khata maaf farma dete hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 281-Sahih 

Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karey aur phir kahe ki Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu (Mai gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam) Allah ke bande aur Rasool hain) 
Aise shaksh ke liye jannat ke 8 darwaze khol diye janyege aur wo shaksh jannat ke jis darwazey se chahey dakhil ho jaye 
Sunan nasaii, Vol1, 150- Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...