Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 13 August 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse istemaal kar leta hai…

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse istemaal kar leta hai…

Sawal: yaha istemaal se kya muraad hai? 

A: Waledain ki kidmat karne ki hidayat deta hai

B: Burai se mehfooz kar deta hai

C: Namaz ka paband bana deta hai

D: logo mein mehboob bana deta hai

E: Ache Amal ki taufeef deta hai

F: Hadse wali maut se mehfuz farma deta hai

G: Neik logo mein shamil kar deta hai 

H: Inmein se koi nahi 


I: Sahi Jawab ka intezaar

*************

Sahi Jawab - E✅

Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse Achche Amal ki taufeeq deta hai…

Reference📚:

Umar Jamee RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab Allah Subhanahu taala apne bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh woh usse istemaal kar leta hai qoum mein se ek aadmi ne poocha usay istemaal karta hai, is se kya muraad hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala usay maut se pehlay achay Amal ki taufeeq de deta hai, phir usse isi haalat mein maut de deta hai.

-----

عمر جمعی  رضی اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا:  جب اللہ تعالیٰ اپنے بندے کے ساتھ بھلائی کا ارادہ کرتا ہے تووہ اسے استعمال کر لیتا ہے۔  قوم میں سے ایک آدمی نے پوچھا:  اسے استعمال کرتا ہے، اس سے کیا مراد ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ اسے موت سے پہلے اچھے عمل کی توفیق دے دیتا ہے، پھر اسے اسی حالت میں موت دے دیتا ہے۔   

-----

Musnad Ahmed#2983-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...