Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Ek shakhs Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huwa aur sawal pucha

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 859❗

Ek  shakhs  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi  wasallam  ki khidmat mein hazir huwa aur sawal pucha

Sawal:  Kaunsa shakhs Allah Subhanahu ki raah mein Jihad ke lehaz se qabile maqbool hain

A: Wo aadmi jo apne hasab ke khatir awaaz buland karta hain
B: Wo aadmi jo Maal e ghanimat ki khatir qitaal karta hain
C: Wo aadmi jo shoharat ke khatir ladayee karta hain
D: Wo aadmi jo apna Mukaam o Martaba dikhane ki khatir ladta hain
E: Wo aadmi jo apne Ahle wa Ayyal ke huqooq ke liye sar buland karta hain 
F: Wo aadmi jo apne padosi ki hausla afzayee karta hain
G: In mein se koi nahi (to Aap apna jawab likhe)
H: Sahi jawab ka intezar hain
****
Sahih Jawab G✅

Hadith: Jo shakhs Allah ke kalme ki sir-bulandi ke liye ladta hain wahi Alalh ki raah mein qabile maqbool hain

Reference📚:
----
Hazrat Abu Musa RadAllahu Anhu bayan karte hain ek Aadmi Nabi Sallallahu Alaihi  wasallam ke khidmat mein hazir huwa aur us ne Arz kiya Ek aadmi Maal e ganimat ke khatir qitaal karta hain, dusra aadmi shoharat ke khatir karta hain to un mein se Allah Subhanahu ki raah mein kaun maqbool hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmaya "'Jo shakhs Allah Subhanahu ke Kalme ki sir bulandi ke liye ladta hain wahi Allah Subhanahu ki raah mein hain
-----
حضرت ابوموسی ؓ بیان کرتے ہیں، ایک آدمی نبی ﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا اور اس نے عرض کیا: ایک آدمی مال غنیمت کی خاطر قتال کرتا ہے، دوسرا آدمی شہرت کی خاطر لڑتا ہے، کوئی آدمی اپنا مقام و مرتبہ دکھانے کی خاطر لڑتا ہے تو ان میں سے اللہ کی راہ میں کون (مقبول) ہے ؟ آپ ﷺ نے فرمایا: "جو شخص اللہ کے کلمے کی سر بلندی کے لیے لڑتا ہے وہی اللہ کی راہ میں ہے"۔ 
متفق علیہ ۔
(مشکوٰۃ المصابیح ٣٨١۴).
------
Miskhat ul Masabeeh#3814-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...