❗Only-Quran-Hadith-Quiz 885 ❗
Ek se zyada jawab
Sawal : Jab dozakhi jannat mein apna thikana dekhega to kya kahega ?
A. Humne Quran ki khas pabandi ki hoti to hamara ye haal na hota
B. Kash hum mazaq udane walon mein na hote
C. Allah Subhanahu mujhe bhi hidayat de deta
D. Main apne mabudon par laanat bhejta hu
E. Allah Subhanahu mujhe par raham farma
F. Allah Subhanahu ke ehkamat mein kotahi na ki hoti
G. Khash humne namazon ki pabandi ki hoti to hamara ye haal na hota
H. Akhirat ke din ko jhutlaya na hota
I. Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi jawab : BCF ✅
Reference : 📚
----------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu kehte hai ki Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya : har jahanumi jannat mein apna thikana dehkega aur kahega kaash Allah Taala mujhe bhi hidaayat de deta, tab yeh unki hasrat rahegi aur har janati jahannum mein apna thikana dehkega aur kahega, agar Allah Taala mujhe hidaayat nahi deta to (yeh mera thikana hota) yeh baat un ke liye bais shukar hogi phir Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne yeh aayat tilawat ki
اَنۡ تَقُوۡلَ نَفۡسٌ یّٰحَسۡرَتٰی عَلٰی مَا فَرَّطۡتُّ فِیۡ جَنۡۢبِ اللّٰہِ وَ اِنۡ کُنۡتُ لَمِنَ السّٰخِرِیۡنَ ﴿ۙ۵۶﴾
Tarjuma : Aisa na ho ke koi shakhs kahe haaye afsos! Iss baat par ke mein ne Alalh Taala ke ehkamaat mein kotahi ki balkay mein to mazaq udaney walon mein hi raha.
(Surah Zumar#56)
-----------
ابو ہریرہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: ہر جہنمی جنت میں اپنا ٹھكانہ دیكھے گا اور كہے گا: كاش اللہ تعالیٰ مجھے بھی ہدایت دے دیتا، تب یہ ان كی حسرت رہے گی اور ہر جنتی جہنم میں اپنا ٹھكانہ دیكھے گا اور كہے گا، اگر اللہ مجھے ہدایت نہ دیتا تو ( یہ میرا ٹھكانہ ہوتا ) یہ بات ان كے لئے باعث شكر ہوگی۔پھر رسول اللہ ﷺ نے یہ آیت تلاوت كی:
اَنۡ تَقُوۡلَ نَفۡسٌ یّٰحَسۡرَتٰی عَلٰی مَا فَرَّطۡتُّ فِیۡ جَنۡۢبِ اللّٰہِ وَ اِنۡ کُنۡتُ لَمِنَ السّٰخِرِیۡنَ( ازمر: ٥٦ )
جہنمی كہے گا ہائے حسرت ،جو ہم نے اللہ كے احكامات میں كوتا ہی کی بلکہ میں تو مذاق اڑانے والوں میں ہی رہا
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1493
No comments:
Post a Comment