Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Ek sahabi ki Maa ka inteqal ho gaya unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se unki taraf se kuch amal karne ke silsile mein pucha jisse unki Maa ko nafa pahuchega...

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 862❗

Ek sahabi ki Maa ka inteqal ho gaya unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se unki taraf se kuch amal karne ke silsile mein pucha jisse unki Maa ko nafa pahuchega...

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaun sa amal karne ko farmaya tha?

A: Padosi ko takleef na dena
B: Raste se takleef de cheez hatao
C: Logon ko ilm ki dawat do
D: 10 miskeen ko khana khilao
E: Logon ke liye pani ka bandobast karwao
F: Musafir ko rasta batao
G: Logo ko buri baat se rokna
H: inmein se koi nahi (to apna jawab likho)
I: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

*Mafhum e Hadith : Pani Marhum logon ke liye behatreen sadqa e jariya hain

Reference📚:
--- 
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Saad RadiAllahu Anhu Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaye aur kehnay lage Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam meri walida faut ho gayeen lekin koi wasiyat nahi kar saken agar mein is ki taraf se sadqa karu to kya usay fahida pahuche ga? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jee haan, tum logon ke liye pani ka intezaam kardo
---
انس‌رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ سعد‌رضی اللہ عنہ  نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئے اور کہنے لگے: اے اللہ کے رسول! میری والدہ فوت ہو گئیں لیکن کوئی وصیت نہیں  کرسکیں۔ اگر میں اس کی طرف سے صدقہ کروں تو کیا اسے فائدہ پہنچے گا؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:جی ہاں،تم لوگوں کے لئے پانی کا انتظام کردو
---
Anas RadiAllahu Anhu narrated that Saad RadiAllahu Anhu came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! My mother died but could not make a will. If I give charity on her behalf, will she benefit? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Yes, arrange water for the people
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1864

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...