Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Jo shakhs wazu karke ghar se masjid ki taraf srif issi niyat se Namaz padhne nikale to uske liye kya sawab hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 877❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Jo shakhs wazu karke ghar se masjid ki taraf srif issi niyat se Namaz padhne nikale to uske liye kya sawab hain

A: uske baye kadam ke badle 10 neki likh di jaati hai
B: uske khata aise khatam hojate hai jaise darakth se sukke patte jhad jaate hain
C: uska baya pav gunah mitaata rehta hain
D:  uska daya pav neikiya likhte rehta hain
E: uske har kadam par faristey uske liye dua karte rehte hain
F: uske har neikiyan 10 gunah badah di jaati hain
G: uske daye kadam ke badle 10 gunah maaf kar diya jate hain
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - CD✅

Hadith: Jo shakhs wazu karke ghar se masjid ki taraf srif iss niyat se Namaz padhne nikale to uska baya pav gunah mitaata rehta hain aur...

Reference📚:
---
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum Mein se koi shakhs Wudu karen aur wo achchi terhan wadu karen phir Masjid ki taraf chale, sirf namaz he usay ghar se nikale to baaye pav gunah mitata rahega aur dayan pav nekiya likhta rahega hatta ke Masjid mein daakhil hojaye
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص وضو ءكرے اور وہ اچھی طرح وضوكرے پھر مسجد كی طرف چلے، صرف نماز ہی اسے گھر سے نكالے تو بایاں پاؤں گناہ مٹاتا رہے گا اور دایاں پاؤں نیكی لكھتا رہے گا، حتی كہ مسجد میں داخل ہو جائے
---
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu narrates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said When one of you performs wudu 'and he performs wudu' properly and then goes to the mosque, the only reason of going out of the house is to pray, then the left foot will continue to erase sins and the right foot will continue to write good deeds, until he enters the mosque.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2363

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...