Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hauz ke bare mein kya kya baatein farmayi hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 875❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hauz ke bare mein kya kya baatein farmayi hain?

A: Paani Barf se zyada safed
B: Shahed mein mile huwe doodh se zyada sheree
C: Paani barf se zyada thanda
D: Iski bartanein sitaro  ki tadad se zyada 
E: Aila aur Adan ke darmiyan musafat se zyada musafat wala
F: Khushbu musk se zyada achchi hain
G: 30 din ki musafat ke barabar
H: Paani doodh se zyada safed
I: Khushbu kastoori se zyada achchi hain
J: Shahed mein mile huwe paani se zyada meeta 
K: Sahi jawab ka Intezaar
***
Sahih Jawab - ABCDEFGHI✅

Hadith: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ke Hauz e Mubarak ki khasiyat

Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Mera Hauz Ek maah (30 din) ki Masafat ke barabar hain, is ke ehtraaf barabar hain is ka pani doodh se zyada safaid hain, is ki khushbu kastoori se ziyada achchi hain aur is ke pyaale Aasman ke sitaron ki terhan hain, jis shakhs ne is se pi liya wo phir kabhi (Maidan Hashar mein) piyasa nahi hoga.
---
حضرت عبداللہ بن عمرو ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ میرا حوض ایک ماہ کی مسافت کے برابر ہے ، اس کے اطراف برابر ہیں ۔ اس کا پانی دودھ سے زیادہ سفید ہے ، اس کی خوشبو کستوری سے زیادہ اچھی ہے اور اس کے پیالے آسمان کے ستاروں کی طرح ہیں ، جس شخص نے اس سے پی لیا وہ پھر کبھی (میدان حشر میں) پیاسا نہ ہو گا ۔‘‘ متفق علیہ ۔
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “My Cistern is equal to the distance of one month, its sides are equal. Its water is whiter than milk, its fragrance is better than musk, and its cups are like the stars in the sky. Whoever drinks from it will never be thirsty again (on the Day of Judgment) 
----
Mishkat ul Masabeeh#5567-Sahih
**
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Mera Hauz Aila se Adan tak ke faasle se zyada wasee hain aur (is ka pani) barf se zyada safaid aur shehad miley doodh se ziyada sheree (zaiqedaar) hai aur is ke bartan sitaron ki tadaad se ziyada hain, (ye khalstan (khass taur par) meri ummat ke liye hain, is liye) mein (ummat ke ilawa dusre) logon ko is se rokunga, jaise aadmi apne hauz se logon ke oonton ko rokta hain Sahaba karaam ne poocha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya is din Aap hamein pehchanege? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Haan, tumhari Ek alamat hogi jo dusri kisi ummat ki nahi hogi, tum wudu ke assar se chamakate huyee chehre aur haath paon ke saath mere paas aaoge
----
مروان نے ابومالک اشجعی سعد بن طارق سے ، انہوں نے ابوحازم سے اور انہوں نے حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت کی کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ میرا حوض عدن سے ایلہ تک کے فاصلے سے زیادہ وسیع ہے اور ( اس کا پانی ) برف سے زیادہ سفید اور شہد ملے دودھ سے زیادہ شیریں ہے اور اس کے برتن ستاروں کی تعداد سے زیادہ ہیں ، ( یہ خالصتاً میری امت کے لیے ہے ، اس لیے ) میں ( امت کے علاوہ دوسرے ) لوگوں کو اس سے روکوں گا ، جیسے آدمی اپنے حوض سے لوگوں کے اونٹوں کو روکتا ہے ۔‘‘ صحابہ کرام نے پوچھا : اے اللہ کے رسول ! کیا اس دن آپ ہمیں پہچانیں گے ؟ آپ نے فرمایا :’’ ہاں ، تمہاری ایک علامت ہو گی جو دوسری کسی امت کی نہیں ہو گی ، تم وضو کے اثر سے چمکتے ہوئے چہرے اور ہاتھ پاؤں کے ساتھ میرے پاس آؤ گے ۔‘‘
----
Abu Huraira reported: Verily Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said: My Cistern has its dimensions wider than the distance between Aila and Adan, and its water is whiter than ice and sweeter than the honey diluted with milk, and its cups are more numerous than the numbers of the stars. Verily I shall prevent the (faithless) people therefrom just as a man prevents the camels of the people from his fountain. They said: Messenger of Allah, will you recognize us on that day? He said: Yes, you will have distinctive marks which nobody among the peoples (except you) will have; you would come to me with blazing forehead and bright hands and feet on account of the traces of ablution.
---
Sahih Muslim#581
***
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”Mera hauz Ek mahine ki masafat ke barabar hoga is ka pani doodh se ziyada safaid aur is ki *khushbu Mushk se zyada achchi hogi aur is ke koze aasman ke sitaron ki tadaad ke barabar honge. Jo shakhs is mein se Ek martaba pi le ga wo phir kabhi bhi (Maidan Mahshar mein) piyasa nahi hoga.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”میرا حوض ایک مہینے کی مسافت کے برابر ہو گا۔ اس کا پانی دودھ سے زیادہ سفید اور اس کی خوشبو مشک سے زیادہ اچھی ہو گی اور اس کے کوزے آسمان کے ستاروں کی تعداد کے برابر ہوں گے۔ جو شخص اس میں سے ایک مرتبہ پی لے گا وہ پھر کبھی بھی  ( میدان محشر میں )  پیاسا نہ ہو گا۔“ 
Sahih Bukhari#6579
----
 “Syedna Sayedna Abu Huraira Aslami Radi Allahu Anhu se riwayat hai, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Akhirat mein mera Ek hauz hoga, is ki wusat is qad rahegi jaise Aila se Sanaa tak ki masafat hai, is ki choraai is ki lambai jitni hogi, is mein Jannat se anay wale pani ke do parnaaley gir rahe honge, Ek parnala chandi ka hoga aur dusra sone ka, is ka pani shehad se ziyada sheree, barf se ziyada thanda, doodh se ziyada safaid hoga, jis ne is se ek dafaa pi liya wo jannat mein jane tak pyaas mehsoos nahi kare ga, is ke aabkhoron ki tadaad aasman ke taron jitni hogi.
---
سیدنا ابوبرزہ اسلمی ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے ، رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  آخرت میں میرا ایک حوض ہوگا، اس کی وسعت اس قد رہوگی جیسے ایلہ سے صنعاء تک کی مسافت ہے، اس کی چوڑائی اس کی لمبائی جتنی ہو گی، اس میں جنت سے آنے والے پانی کے دو پرنالے گر رہے ہوں گے، ایک پرنالہ چاندی کا ہوگا اور دوسرا سونے کا، اس کا پانی شہد سے زیادہ شیریں، برف سے زیادہ ٹھنڈا، دودھ سے زیادہ سفید ہوگا، جس نے اس سے ایک دفعہ پی لیا وہ جنت میں جانے تک پیاس محسوس نہیں کرے گا، اس  کے آبخوروں کی تعداد آسمان کے تاروں جتنی ہوگی۔  
----
Musnad Ahmed#13128

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...