Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Wo kaunse sahabi thy jinhe Allah Subhanahu ne achchi aawaz se nawaza tha aur inki taraf ek sahabi hamesha pehgaam bejte thy ki unhe wo quran ki tilawat sunaye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 858❗

Sawal: Wo kaunse sahabi thy jinhe Allah Subhanahu ne achchi aawaz se nawaza tha aur inki taraf ek sahabi hamesha pehgaam bejte thy ki unhe wo quran ki tilawat sunaye

A: Uthman RadiAllahu Anhu
B: Talha RadiAllahu Anhu
C: Alqama bin Qais RadiAllahu Anhu
D: Abu Sufiyan RadiAllahu Anhu
E: Barrah RadiAllahu Anhu
F: Saeed bin Ziyad RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - C✅

Hadith: Achchi aawaaz se Quran ki tilawat karna Quran ki zeenat hain

Reference📚:
---
Alqama bin Qais RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke mein aisa aadmi tha jisay Allah Subhanahu ne achchi aawaz se (tilawat) Quran se nawaza tha Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu meri taraf pehgaam bhejte to mein tilawat karta, jab mein apni Qiraat se farigh hota to kehte humein mazeed sunao kyunke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe thy achchi aawaz Quran ki zeenat hain
----
علقمہ بن قیس سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں ایسا آدمی تھا جسے اللہ تعالیٰ نے اچھی آواز سے (تلاوت) قرآن سے نوازا تھا۔ عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ  میری طرف پیغام بھیجتے تو میں تلاوت کرتا، جب میں اپنی قراء ت سے فارغ ہوتا تو کہتے: ہمیں مزید سناؤ ،کیوں کہ میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے: اچھی آواز قرآن کی زینت ہے
---
Alqamah bin Qais RadiAllahu Anhu narrates that he said: I was a man who was blessed by Allah with a good voice (recitation) of the Qur'an. Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu used to send a message to me to recite the Qur’an and I would recite it. When I finished my recitation, he would say continue to recite more, because I heard from Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam: A good voice is an adornment of the Qur'an.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2848

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...