Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

isne Rasoolallah Sallelahu Alaihi par jhoot bola uske liye Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne kya farmaya hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 868❗

Ek Se Zyada Jawab

Sawal : Jisne Rasoolallah Sallelahu Alaihi par jhoot bola uske liye Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne kya farmaya hai ?

A. Us par sab logon ki laanat 
B. Us par Allah ki laanat
C. Wo aag mein hoga
D. Wo jhuton mein sabse bada jhuta hai
E. Qayamat ke din Rasoolallah Sallellahu Alaihi Wasallam ki shaffat naseeb nahi hogi
F. Wo apna tikhana dozakh mein tayyar karle
G. Us par farishton ki laanat
H. Qayamat ke din Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam uske khilaf gawahi denge
I. Sahi jawab ka Intezaar
***
Sahi jawab : CDF ✅

Reference : 📚
----------
Sayyedna Qais Bin Sayeed Bin Abaada Ansari Radi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya  : jis ne jaan boojh kar mujh par ek dafa jhoot bola, pus wo apna thikana aag se ya ghar jahannam me tayyar kar lein
 ۔ سیدنا قیس بن سعد بن عبادہ انصاری ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: جس نے جان بوجھ کر مجھ پر ایک دفعہ جھوٹ بولا، پس وہ اپنا ٹھکانہ آگ سے یا گھر جہنم میں تیار کر لے۔

Musnad Ahmed#9909
-------
 (Dusri sanad) Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam  ne farmaya : jis ne mujh se koi hadees bayaan ki,  jabke iska kayaaliya ho ke woh jhoot hai to wo jhuton mein se bada jhuta hoga

 ۔ (دوسری سند) رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: جس نے مجھ سے کوئی حدیث بیان کی، جبکہ اس کا خیالیہ ہو کہ وہ جھوٹ ہے تو وہ جھوٹوں میں سب سے بڑا جھوٹا ہو گا۔
Musnad Ahmed#9903
---------
Sayyedna Umar Bin Khattab se marwi hai ke Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya : jisne mujh par jhoot bola, pus wo Aag me hoga
---------
 ۔ سیدنا عمر بن خطاب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مر وی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: جس نے مجھ پر جھوٹ بولا، پس وہ آگ میں ہو گا۔
---------
Musnad Ahmed#9899


No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...