❗Only-Quran-Hadith-Quiz 856❗
Sawal: Jis shakhs ko Jihaad karne se khauf mehsoos ho aur tahajjud padhna mushaqqat lage to kaunsa amal karna chahiye
A: Kasrat se Allah ka zikr karen
B: Kasrat se Durood padhe
C: Har Namaz ke baad 100 baar Asragfaar padhe
D: Nafil Roze rakhe
E: Sadqa de
F: Humsayo ke saat husn sulook karen
G: Jamat se jude rahe
H: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
I: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - H✅
Hadith: Jo maal karch karne mein Jihaad aur Tahajjud padhne mein mushaqqat karen wo kasrat se SubhanAllah Alhumdullulah La ilaha illAllah Allahu Akbar padha karen
Reference📚:
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jo shakhs maal kharch karne mein kanjus ho aur dushman se Jihaad karne se darta ho aur raat ko namaz mein khade ho kar takleef uthane ki himmat na rakhta ho, usay chahiye ke kasrat se La ilaha illAllah, SubhanAllah, Alhumdullilah aur Allah hu Akbar ka vird karen.
----
سیدنا عبداللہ بن مسعود ؓ سے روایت ہے کہ جو شخص مال خرچ کرنے میں کنجوس ہو اور دشمن سے جہاد کرنے سے ڈرتا ہو اور رات کو نماز میں کھڑے ہو کر تکلیف اٹھانے کی ہمت نہ رکھتا ہو ، اسے چاہیے کہ کثرت سے لا الہ الا اللہ ، سبحان اللہ ، الحمد للہ اور اللہ اکبر کا ورد کرے
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu narrates that a person who is stingy in spending money and is afraid of Jihad against the enemy and does not dare to stand in prayer at night (Qayam ul Lail) He should recite La ilaha illa Allah, Subhan Allah, Alhamdulillah and Allah Akbar frequently.
----
Adab Al Mufraad Hadees#275-hasanpart
Hakim Albani- Sahih
No comments:
Post a Comment