❗Only-Quran-Hadith-Quiz 869❗
Sawal: Allah Subhanahu inmein se kaunse amal karne wale se bughz rakhta hain
A: Jahalat karne walo se
B: bahut zayda bolne wale se
C: Padosi se iktelaaf karne walo se
D: Napaki ki halat mein raat guzarne walo se
E: Miya biwi mein talaq karwane walo se
F: Zayda sawal karne walo se
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - B✅
Hadith: Allah Subhanahu charb zabaan walon se bughz rakhta hain
Reference📚:
----
Abdullah bin Amr RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke yaqeenan Allah Azzwajal charb Zabaan (yani bahut zayda bolne walo) se bughz rakhta hai wo shakhs jo apni zabaan ko is terhan ghumata hai jis terhan gaaye (jugali karte huyee) apni zabaan ghumaati hai
--
عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: یقیناً اللہ عزوجل چرب زبان سے بغض رکھتا ہے۔ وہ شخص جو اپنی زبان کو اس طرح گھماتا ہے جس طرح گائے (جگالی کرتے ہوئے) اپنی زبان گھماتی ہے
---
Abdullah bin Amr RadiAllahu Anhu narrates that: Surely Allah Almighty hates excesive talking. A person who moves his tongue in the same way as a cow moves its tongue
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#284
No comments:
Post a Comment