Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 20 March 2022

Wo kaunsi cheez hai jisse Allah Subhanhu pasand karen usay bhi deta aur jisse na pasand karen usay bhi deta

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 854❗

Sawal: Wo kaunsi cheez hai jisse Allah Subhanhu pasand karen usay bhi deta aur jisse na pasand karen usay bhi deta

A: Shohrat
B: Izzat
C: Bulandi
D: Maal
E: Achcha Akhlaq
F: Tauba karne ki taufeeq
G: Allah ki Rahmat
H: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
I: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Allah Subhanahu Emaan sirf usay he deta hain jisse wo Mohabbat karta hain lekin Maal to usay bhi deta hai jisse wo pasand nahi karta

Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke beshak Allah Subahnahu Maal usay bhi deta hai jisse pasand karta hai aur usay bhi jisse pasand nahi karta, aur Emaan sirf usay deta hain jis se wo Mohabbat karta hain.
----
سیدنا عبداللہ بن مسعود ؓ سے روایت ہے کہ بےشک اللہ تعالیٰ مال اسے بھی دیتا ہے جسے پسند کرتا ہے اور اسے بھی جسے پسند نہیں کرتا ، اور ایمان صرف اسے دیتا ہے جس سے وہ محبت کرتا ہے ۔ 
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu narrates that Allah gives wealth to whom He likes and also to whom He does not likes, and he gives Faith only to whom He loves.
---
Adab Al Mufraad Hadees#275-hasanpart 
Hakim Albani- Sahih

No comments:

Post a Comment

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...