Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Mahfhum e hadith ke mutabiq Allah Subhanahu ka haath kis par hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 852❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq Allah Subhanahu ka haath kis par hain

A: Halal kamayee karne walo par
B: Jamaat se jude rehne walo par
C: Sadqa dene walo par
D: Masjid tameer karne walo par 
E: Allah ke raha mein karch karne walo par
F: Jihad mein shamil hone walo par
G: ilm hasil karne ke khatir mehnat karne walo par
H: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
I: Sahih jawab ka intezaar

Sahih jawab - B✅

Hadith: Allah Subhanahu ka haat jamaat ke saath jude rehne walon par hain

Reference📚:
---
Arfajah bin Shuraih Al-Ashja’l RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko minbar par logon ko khutba dete dekha, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ”Mere baad fitnah o fasaad hoga, to tum jisay dekho ke wo jamaat se alag hogaya hain ya Ummat e Mohammadiya mein iftiraaq wa ikhtilaaf chahata hain, to khuwa wo koi bhi ho usay qatal kar do, is liye ke Allah Subhanahu ka haath jamaat par hai aur jo jamaat se alag huwa is ke saath shaitan daudta hain
---
 عرفجہ بن شریح اشجعی ؓ کہتے ہیں کہ میں نے نبی اکرم ﷺ کو منبر پر لوگوں کو خطبہ دیتے دیکھا ، آپ نے فرمایا : ” میرے بعد فتنہ و فساد ہو گا ، تو تم جسے دیکھو کہ وہ جماعت سے الگ ہو گیا ہے یا امت محمدیہ میں افتراق و اختلاف ڈالنا چاہتا ہے ، تو خواہ وہ کوئی بھی ہو اسے قتل کر دو ، اس لیے کہ اللہ تعالیٰ کا ہاتھ جماعت پر ہے اور جو جماعت سے الگ ہوا اس کے ساتھ شیطان دوڑتا ہے
----
It was narrated that 'Arfajah bin Shuraih Al-Ashja'I said: I saw the Prophet [SAW] on the Mimbar addressing the people. He said: 'After me there will be many calamities and much evil behavior. Whoever you see splitting away from the Jama'ah or trying to create division among the Ummah of Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam, then kill him, for the Hand of Allah is with the Jama'ah, and the Shaitan is with the one who splits away from the Ummah, running with him.' 
---
Sunnan e Nisai#4025-Sahih

****

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...