Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Jis tarah logon ko Allah Subahanhu ne rizq taqseem kiya hain ussi tarah aur kaunsi cheez logon ko taqseem ki hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 853❗

Sawal: Jis tarah logon ko Allah Subahanhu ne rizq taqseem kiya hain ussi tarah aur kaunsi cheez logon ko taqseem ki hain

A: Nasab
B: Aulaad
C: Izzat
D: Narm Dil
E: Achchi Soch
F: Akhlaq
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Allah Subhanahu ne tumhare darmiya achcha Akhlaq taqseem kiya hain jis tarah usne rizaq taqseem kiya hain

Reference📚:
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke bilashuba Allah Subhanahu ne tumhare darmiyan Akhlaq ki bhi isi terhan taqseem ki hain jis terhan rizaq tumahre darmiyan taqseem kiye hain beshak Allah Subahnahu maal usay bhi deta hai jisse pasand karta hai aur usay bhi jisse pasand nahi karta, aur Emaan sirf usay deta hain jis se wo Mohabbat karta hain jo shakhs maal kharch karne mein kanjus ho aur dushman se Jihaad karne se darta ho aur raat ko namaz mein khade ho kar takleef uthane ki himmat na rakhta ho, usay chahiye ke kasrat se La ilaha illAllah, SubhanAllah, Alhumdullilah aur Allah hu Akbar ka vird karen.
----
سیدنا عبداللہ بن مسعود ؓ سے روایت ہے کہ بلاشبہ اللہ تعالیٰ نے تمہارے درمیان اخلاق کی بھی اسی طرح تقسیم کی ہے جس طرح رزق تمہارے درمیان تقسیم کیے ہیں ۔ بےشک اللہ تعالیٰ مال اسے بھی دیتا ہے جسے پسند کرتا ہے اور اسے بھی جسے پسند نہیں کرتا ، اور ایمان صرف اسے دیتا ہے جس سے وہ محبت کرتا ہے ۔ جو شخص مال خرچ کرنے میں کنجوس ہو اور دشمن سے جہاد کرنے سے ڈرتا ہو اور رات کو نماز میں کھڑے ہو کر تکلیف اٹھانے کی ہمت نہ رکھتا ہو ، اسے چاہیے کہ کثرت سے لا الہ الا اللہ ، سبحان اللہ ، الحمد للہ اور اللہ اکبر کا ورد کرے ۔
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu narrates that Allah has distributed among you morals in the same way as He has distributed among you provisions. Indeed Allah gives wealth to whom He likes and also to whom He does not likes, and he gives Faith only to whom He loves. And a person who is stingy in spending money and is afraid of Jihad against the enemy and does not dare to stand in prayer at night (Qayam ul Lail) He should recite La ilaha illa Allah, Subhan Allah, Alhamdulillah and Allah Akbar frequently.
---
Adab Al Mufraad Hadees#275-hasan 
Hakim Albani- Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...